Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaHindustan mein ek mushtarqa zabaan ka tasawwur mumkin nahi, hindi musallat na...

Hindustan mein ek mushtarqa zabaan ka tasawwur mumkin nahi, hindi musallat na karen : Rajnikanth

Chennai : Junoobi Hindustan se taluq rakhnay walay aalmi shohrat Yafta adakar Rajnikanth ne bhi hindi ko musallat karne ki mukhalfat ki hai aur kaha ke Hindustan mein ek mushtarqa zabaan ka tasawwur mumkin nahi hai aur kaha ke hindi ko musallat karne ki koi bhi koshish ki nah sirf Junubi reyaston ki janib se mazammat ki jayegi balkay shumal mein bhi kayi afraad usay qubool nahi karenge.

Markazi Wazeer-e-Dakhla Amit Shah ne haal hi mein hindi ko mushtarqa zabaan bananay ki taied ki thi jis par Junubi hind ke mukhtalif qaideen aur qad-aawar shakhsiyation ne shadeed rad-e-amal zahir kiya hai jin mein saddar DMK, MK Stalin aur congress leader wo sabiq chief minister karnatak bhi shaamil hain.

Rajnikanth ke yeh remarks bhi Amit Shah ke is bayan ke rad-e-amal ke tor par samnay aaye hain. Superstar ne kaha ke hindi ko musallat nahi kiya jana chahiye kyunkay ek mushtarqa zabaan ka nazriya afsoosnaak hai aur yeh mulk mein mumkin nahi hai. ek mushtarqa zabaan Hindustan ke liye hi nahi balkay kisi bhi mulk ke liye uss ki ekjahti aur taraqqi ke liye achi baat nahi hai.

yaad rahay ke yom-e-hindi ke mauqa par markazi wazeer e dakhla Amit Shah ki taraf se ek mulk ek zeba ka formula paish kiye janey ke baad se khaas tor par mulk ki Junubi reyaston mein is ki sakht mukhalfat ka silsila shuru ho gaya hai, isi douran Bangalore shehar ke kayi danishwaron ne bhi kaha hai ke bila sochey samjhay aur taasub ki bunyaad par hindi zabaan ki mukhalfat karna jahan ghalat ho sakta hai wahein markazi hukoomat ki taraf se mulk ki har ek riyasat aur ilaqa par hindi ko musallat karne ke rawayya ko bhi durust qarar nahi diya jaskta.

Dansihwaroun ne kaha hai is baat par israar kiya hai ke markazi hukoomat ki janib se hindi zabaan ko qaumi zabaan ke tor par musallat kiye janey ka iqdaam na sirf doosri zabanon ke huqooq ki pamali ke mutradif hai balkay yeh ek aisa qadam hai jo doosri tehzibon ko khatam karne ki saazish ka hissa hai aur yeh mulk ke jamhoori tane banay ko nuqsaan pohanchanewala hai. YTN STAFF