Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaHindustan mein Coronavirus ki tadaad 50 hogayi

Hindustan mein Coronavirus ki tadaad 50 hogayi

New Delhi: Coronavirus ka phelaoun kam honay ka naam nahi le raha hai aur Hindustan mein is virus se mutasirah afraad ki tadaad mein izafah horaha hai. Karnataka mein COVID-19 yani Coronavirus ke 3 naye muamlay samnay aeye hain. Reyasti wazeer e sahet B.C Ramlu ne un mamlaat ki tasdeeq karte huve ye ittila di hai. Is terhan se Hindustan mein Corona ke jumla mamlaat ki tadaad 47 se badh kar 50 hogayi hai.

Is se qabal Pune se bhi ek maamla ka inkishaaf huva hai. Haal hi mein Dubai se Pune wapas anay walay jodey ko Coronavirus ki jaanch mein misbet paaya gaya hai. Ohdedaroun ne ye ittila di. Pune ke Divisional Commissioner Deepak ne sahafioun ko bataya ke dono mareezoun ko nigrani ke liye Pune ke ek sarkari dawakhana mein rakha gaya hai. Dono ki haalat mustahkam hai.

Ye jodey yakam March ko Dubai se wapas aeye they. Wo 40 logoun ke is Group ka hissa they jo Dubai gaya tha. Health Officer Hankari ne kaha hum un tamam logoun par nigah rakhay huve hain jin ke sath wo raabtey mein aeye they. Pune Collector Nol Kishwaram ne kaha ke dono Coronavirus ke mareezoun ke lawahiqeen ke khoon ke namoonay bhi liye gaye hain aur Liberties mein bhaij diye gaye hain.

Ab tak Kerala, Delhi , ‫UP, Punjab , Karnataka, Tamil Nado aur Jammu o Kashmir se Coronavirus ke maamloun ka inkishaaf ho chuka hai, Jabkay 2 ka talluq Maharashtra ke Pune se hai. Kerala mein 8 March ko corona ke 5 muamlay Report huve they, Un mein se 3 mareez Italy, Jabkay 2 deegar inhen ke kunba arkaan hain. Alawa azeen Ladakh mein 2 mareez Corona se mutasir hain ye dono mareez Iran ka safar kar chuke hain. Tamil Nado se bhi ek maamla samnay aaya hai, Yahan ka mareez Oman ka safar kar chuka hai.

Yaad rahe ke Coronavirus se ab tak China mein sab se ziyada halakten huvi hain. Is ke baad Italy dosray number par hai. Italy mein ab tak is marz ke 5000 se ziyada muamlay samnay aeye hain. Jo ke China, Janoobi Korea aur Iran ke baad sab se ziyada hai. Hindustan mein 50 afraad Corona se mutasir ho chukay hain aur is se bachao ke liye mulk mein mustaqil aagahi phailai jarahi hai. –YTN STAFF