Monday, April 21, 2025
HomeIndiaHindustan May Coronavirus ke 2902 waqiyat, 68 amwaat

Hindustan May Coronavirus ke 2902 waqiyat, 68 amwaat

New Delhi: Hindustan may Novel Coronavirus( COVID-19) ki wajah se guzishta 24 ghantoun ke douran 6 naye amwaat ki ittila mili, jin may marne waloun ki majmui tedaad 68 hogayi aur tasdeeq shuda cases ki jumla tedad 2,902 hogayi.

Hafte ki subah Wazeer-e-sehat ke zariye shaya kardah adad-wo-shumar ke mutabiq, un 2650 corona cases may se 183 afraad Hospital discharged hue aur ek shaks dusre mulk chala gaya aur 68 afraad is beemari se apni jaan gawa baithe.

Maharashtra sabse ziyada mutasir riyasat rahi, jabke majmui taur per musabbit cases ke tedaad 423 hogayi, iske baad Tamilnadu may 411 aur delhi may 389 cases hai.

Kerala may kam-az-kam 295 afraad mutasir hai, jabke Rajasthan may 179 aur UP may 174, Telangana may 158, Andhra may 161 cases report hue.

Wizarat-e-sehat kea adad-wo-shumar ke mutabiq Madhya Pradesh may104, Jammu wo Kashmir may 75, Punjab may 48, west Bengal may 63, Gujrat may 95, Haryana may 49, Bihar may 29, Chandigarh may 18, Assam may 24, aur Ladakh may14 Coronavirus ke cases report hue hai.

Andaman nicobar jazeera may kam se kam 10 maamlat hue, jabke Uttarkhand may bhi 16, Arunachal Pradesh may 1, Goa may 6, Chattisgarh may 9, Himachal Pradesh may 6, Jharkand aur Manipur may 2 cases, Odisha may 5 aur Puducherry may 5 cases darj hue hai.

Coronavirus marz se sab se ziyada halakatein Maharashtra se hui hai, kam se kam 19 amwaat, uske baad Gujarat may 9 amwaat, Telangana may 7 amwaat aur Punjab may 5 amwaat hui hai.

Delhi may bhi Covid-19 ke wajah se 6 afraad ki halakat ki ittela hai, Madhya Pradesh may 6 afraad is beemari se halak hue, Andhra Pradesh may Andhra Pradesh (1), Bihar (1), Himachal Pradesh (1), J&k (2), Karnataka (3), Kerala (2), Tamil Nadu (1), Uttar Pradesh (2) and West Bengal (3). –YTN STAFF