Dubai: New Zealand ke ba salahiyat aur ubharte batsman Devin conve ka khayal hai ke Hindustan ko unke gharelu halaat mein shikast dena world test championship ke final mein unhe harane se bada challenge hoga. New Zealand November mein Hindustan ka daura kareiga jaha woh T20 world cup ke baad teen T20 international aur do test match khailega conve jo ungli ke fracture se sehat yaab hone ke baad action mein wapis aarahe hain unho ne Hindustan ke daure ke mutalliq kaha hai ke Hindustan mein test jeetna team ke liye ek bade hadaf ki haisiyat rakhta hain.
Yaqeeni taur par yeh hamara bada maqsad hai. Yeh ek bohut bada hadaf hai jise hum hasil Karna chahte hain. Hindustan ko unke gharelu halaat mein shikast dena England mein unhe harane se bada challenge hai yeh ek gair mamooli kamiyabi hogi agar world test championship final jitni badi na ho canove ne steff dott ko dot NZ se izhar e khayal karte huwe yeh baat kahi. Unho ne mazeed kaha ke team ki salahiyaton ko sabit karne ke liye yeh ek bohut ehum series hogi.
Conve ne kaha bare sagheer ka safar aur aisi wickton par cricket khailna jo experience ke liye aap ko apne ander zehni taur par waqayi mazboot hona padeiga apne difaa par bharosa karein aur aap ke paas ek tareeqa hai jis mein aap score kar sakte hain. Yaha is baat ka tazkira bhi ehum hai ke ICC ki ifetahi world test championship ke final mein New Zealand ne Hindustan ko shikast dekar khitab apne naam kiya hai lekin yeh final England ki sar zameen par khaila gaya tha aur Waha ke halaat aur wicket New Zealand ke liye zyada sazgar tasawwur ki gayi hain.