Friday, May 17, 2024
HomeSliderHindustan ko T20 World Cup mein nai tareekh raqam karne ka mauqa

Hindustan ko T20 World Cup mein nai tareekh raqam karne ka mauqa

Melbourne: Hindustani khatoon Cricket Team ko kal yahan Australia ke khilaaf khailay janay walay T20 World Cup ke Final mein dabao ke lamhaat mein behtar muzahira karne ki zaroorat hogi taakay wo Melbourne Cricket Ground par maizban Team aur muqami shaiqeen ke rubaroo aalmi Trophy haasil kar sakay.

Hindustani Team Final mein rasai se qabal tak Tournament mein na qabil taskheer rahi jaissa ke is ne Group marhalay ke charoun muqabloun mein fatohat haasil karne ke ilawa iftitahi muqablay mein difai champion aur maizban Team Australia ko heran kun shikast se dochar kiya tha, Jabkay Semi Final muqaabla jo ke England ke khilaaf khela jana tha, Wo barish ki nazar huva jis ki wajah se usay Group marhalay mein behtar muzahiroun ki bunyaad par Final mein rasai ka mauqa mila.

Hindustani Team ke liye 16 sala Shafali Verma ka shandaar muzahira ahem saabit ho raha hai kyunkay jis terhan Shafali teez raftaar Team ko shuruvaat faraham kar rahi hai, Is ka mukammal Tournament mein faida huva hai. Australia Team ki janib se Final ki hikmat e amli mein Shafali ko jald out karna pehla mansoobah hoga jabkay Shafali ke baad Hindustan ki asal taaqat Spinners hain jaissa ke Tournament ke iftitahi muqablay mein Ponam Yadav ne 4 wickten haasil karte huve Australia ko heran kun shikast bardasht karne par majaboor kiya tha.

Australia Team jisay Tournament ke iftitahi muqablay mein bhallay hi heran kun shikast bardasht karni padi hai lekin World Cup se qabal khailay gaye sah rukhi Tournament ke Final mein wo Hindustan ko shikast day chuki hai. Australia Team baday Tournament aur khaas kar finals mein behtar muzahira ka Record rakhti hai jabkay Hindustan ko ahem muqabloun aur khaas kar baday Tournament ke finals mein shikast ka Record pareshan karsaktha hai jaissa ke 2017 ODI World Cup ka Final mein aur 2018, 20 Twenty ka Semi Final qabil zikar hai jahan usay shikast bardasht karni padi thi.

Hindustani Team ke liye Shafali ka behtar muzahira karna misbet ke alawa manfi pehlu bhi saabit ho sakta hai kyunkay Tournament ke douran Hindustan ka Medal Order nakaam raha hai jis mein Captain Harmanpreet Kaur ke naaqis muzahirey bhi ahmiyat ke haamil hain. Hindustani Team Group marhalay ke muqabloun mein 150 Runs ka nishana uboor nahi kar saki lekin kifayati aur mutasirkun Bowling ki badolat is ne hareef Teams ko shikast di hai.

Leg Spinner Punam Yadav ne ungli ke zakham se shandaar wapsi karte huve Tournament mein ta haal 9 Wickets haasil ki hain lekin un ke sath Australia Fast Bowler Megan Schutt bhi 9 wickets haasil kar chuki hain. –YTN STAFF