Monday, May 20, 2024
HomeLatest NewsHindustan ko sydney mein shikast ki hatrick ka khatrah

Hindustan ko sydney mein shikast ki hatrick ka khatrah

Sydney: Pehlay ODI mein 66 runs ki shikast ke baad hindustani team itwaar ko Australia ke khilaaf dosray ODI muqablay mein sydney maidan mein shikast ki hatrick se bachney aur teen matchon ki series mein barabari haasil karne ke maqsad ke sath utregi.

Virat kohli ki zair-e-qayadat hindustani team ne 2018-19 ke guzashta australiyai doray mein sydney mein pehla ODI match 34 runs se gawaya tha lekin phir wapsi karte hue aglay do match jeet kar series 2-1 se apne naam ki thi. mojooda doray ka pehla match sydney mein hi khela gaya jis mein

Hindustan ko 66 runs se shikast ka saamna karna padha.

Series ka dosra match bhi sydney ground mein hona hai jahan hindustani team shikast ki hatrick se bachney ki poori koshish karegi. pichle doray mein dosra match Adelaide mein hua tha lekin is series ka dosra match sydney mein ho raha hai lehaza Hindustan ko sydney ground mein apne record ko behtar bananay ki zaroorat hai tab hi woh is series mein wapsi kar sakayga.

Australia ne pehlay muqablay mein 374 ka score banakar jeet apne naam ki thi. Hindustan ne 308 run banaye lekin austraia ka score itna bara tha ke

Hindustan ki jeet ki umeeden hadaf ki shuruvaat karne se pehlay hi khatam hogayi thi. pehlay muqablay mein hindustani bowlers ne mayoos kiya. jiske baad top order ne bhi umedon ko todnay mein koi kasar nahi chodhi. Australia ke liye captain aron finch aur david warner ne pehli wicket ke liye 156 runs jode aur finch aur

Stevin smith ne dosray wicket ke liye 108 runs jode. yahi shiraakat Australia ki jeet ki bunyaad bani.

finch ne 114, smith ne 105 aur warner ne 69 runs banaye. un ke muqablay mein

Hindustan ke top order mein mayank Agarwal ne 22, captain virat ne 21, shreyas iyer ne 3 aur lokesh rahul – ne 12 runs banaye. Shikhar dhawan ne 74 runs ka taawun diya jabkay all rounder hardik pandya ne 90 runs banaye. Dono ne panchwin wicket ke liye 128 runs ka izafah kiya lekin yeh koshish

Hindustan ki shikast ko nahi rok saki.

Kohli ne khud match ke baad aiteraaf kiya ke top order ko badey hadaf ke samnay badi

inning khailnay ki zaroorat thi.

Hindustan ko apni bowling mein khaas tor par islaah karna hoga tab hi woh series mein barabari ki umeed kar sakegi. Bumrah ne 73, navdip saini ne 83, chahal ne 89 aur ravinder jadeja ne 63 runs luttye. sirf Mohammad Sami ne kuch behtar kiya aur 59 runs day kar 3 wickten haasil kee.