Friday, May 17, 2024
HomeSliderHindustan ko Semi Final mein England se Record behtar karne ka sunheri...

Hindustan ko Semi Final mein England se Record behtar karne ka sunheri mauqa

Sydney: ICC Womens World Cup ke Semi Final mein Hindustan ka kal yahan England se aur janoobi Africa ka muqaabla difai champion Australia se hoga. Shandaar faam mein mojood aur apne Group ke 4 Match jeetnay wali Hindustani Team ke paas England se 2 saal pehlay World Cup ke Semi Final mein shikast ka badla chukana ka mauqa rahay ga. Hindustani Team November 2018 mein West Indies mein huve World Cup ke Semi Final mein 19.3 over mein 112 Runs par simt gayi thi jabkay England ne 17.1 over mein 2 wicket par 116 runs bana kar match jeet liya tha.

Is se pehlay 2017 mein England mein huve One Day World Cup mein Hindustan ka Final mein maizban England se muqaabla huva tha aur England ne Hindustani Team ko 9 Runs se shikast day kar khitaab jeet liya tha. England ne 50 over mein 7 wicket par 228 run banaye they jabkay hindustani Team 48.4 over mein 219 runs par simat gayi thi. Rawan World Cup mein Hindustan ne Group A mein apne charoun match jeetay jabkay England ki team group bi mein 4 mein se 3 match jeet kar 6 nishanaat ke sath dosray number par rahi. Group A mein Australia dosray aur Group B mein janoobi Africa 7 Points ke sath pehlay maqam par rahi hai.

Hindustan ne Group marhalay mein World Champion Australia ko Sydney mein 17 runs se, Bangladesh ko Perth mein 18 Runs se, New Zealand ko Melbourne mein 3 runs se aur Sri Lanka ko Melbourne mein 7 wicket se shikast di hai. Hindustan aur England ka Semi Final Sydney mein khela jaye ga. England ne apna pehla Match janoobi Africa se 6 wicket se gunwaya lekin is ke baad is ne shandaar wapsi karte huve Thailand ku 98 runs se, Pakistan ko 42 runs se aur West Indies ku 46 runs se shikast di.

Janoobi Africa aur West Indies match mansookh honay se dono teams ke darmain nishanaat ki taqisem huvi aur World Cup ke group marhalay ka aakhri muqaabla tha jo baghair Toss huve hi barish ki wajah se mansookh hogaya. Janoobi Africa group B mein 4 Matche mein 3 jeet aur ek mansookh match ke sath 7 points le kar pehlay number par raha jabkay West Indies 4 Matches mein ek jeet, 2 haar aur 1 mansookh Match ke sath 3 points le kar tournament se baher ho gayi. –YTN STAFF