Washington: Hindustan ab America se 24 Helicopter haasil kare ga jaisa ke America neh 2.6 arab dollar qeemat ke 24 MH.60 R Helicopter Hindustan ko farokht karne ki manzoori daydi hai. America ne is saudey ki manzoori di aur un helciopters ki aamad ke baad Hindustan ki samandari satah aur pani ke andar khaas tor par aabdoz golabari mein izafah hoga. America ki wizarat-e-kharja neh kaha ke Hindustan neh guzashta saal is ke liye darkhwast di thi jisay manzoori di gayi hai. moahida ke tehat America Hindustan ko 2.6 arab qeemat ke 24 MH.60 R Helicopter farokht karega .
Lockheed Martin company ki janib se tayar kardah Helicopter 24 MH.60 R ka naam Romia hai. is ki taamer samandari dushmanon ko nishana bananay ke alawa samandar mein talaash aur imdadi muhim ko zehen mein rakh kiya gaya hai .
America ki wizarat-e-kharja ki janib se jari bayan mein kaha gaya ke yeh mujawaza farokht America aur Hindustan ke taluqaat ko mazboot karne aur ek ahem difai shiraakat daari ko mustahkam karne mein madad miley gi jis se America ki kharja policy aur qaumi salamti ko taqwiyat haasil hogi . –YTN STAFF