Monday, September 16, 2024
HomeLatest NewsHindustan ki sarhad par Bangladesh ki janib se Internet band

Hindustan ki sarhad par Bangladesh ki janib se Internet band

Dhaka: Bangladesh ke Telecommunication Regulatory Commission ne ko apni Hindustani sarhad ke sath apni Internet khidmaat band kar dein. Report ke mutabiq hakkaam ki janib se jari honay walay bayan mein kaha gaya hai ke mobile phone courage ko poori sarhad ke sath 1 Kilometer ke dairay mein band kardiya gaya hai.

Bayan mein kaha gaya ke mojooda sorat e haal mein mulk ki salamti ki khatir ye faisla kiya gaya hai. ek hakkaam ne naam na zahir karne ki sharat par kaha ke faisla is tashweesh ke paish e nazar kiya gaya hai ke Hindustani musalman naye shehriat ke qanoon ki wajah se Bangladesh mein daakhil honay ki koshish karenge. Wazeh rahay ke Hindustani hukoomat ne 11 decemeber ko qanoon manzor kiya hai jis ke tehat chand mumulk se ghair mulki panah kozeeroun ku shehriat dijayegi.

Is ke zariye hukoomat lakhoon ghair qanooni tor par Pakistan, Afghanistan aur Bangladesh se 2015 se qabal aeye panah kozeeroun shehriat daygi taham bashart e kay wo musalman na hon. Mazkoorah qanoon jisay musalman dushman kaha jaraha hai, Is ke khilaaf Hindustan ke tole o arz mein shadeed ehtijaj ka silsila jari hai jis mein mutadid afraad halaak ho chukay hain jabkay ehtijaj mein hissa lainay walay afraad ko police ki janib se harasan kiya jaraha hai. –YTN STAFF