Monday, April 29, 2024
HomeIndiaHindustan ki Immigration Policy bhi shehriat tarmeemi qanoon ke nifaz mein rukawat

Hindustan ki Immigration Policy bhi shehriat tarmeemi qanoon ke nifaz mein rukawat

New Delhi: Shehriat Tarmeemi Qanoon ke nifaz ke baad Hindustan ki kya halaat hai ye sab par ayaan hain. Is qanoon ke nifaz ke liye jahan BJP hukoomat bazid hai to doosri janib awam is kalay qanoon ke khilaaf apni jaan o maal ki parwah kere baghair saraapaa ehtijaj hai. Hukoomat ki ehmaqana aur mutassabana Policies on ki wajah Hindustan mein khanah jungi ka mahol bana huwa hai aur isi wajah se Delhi shehar guzashta kayi dinoun se jal raha hai.

BJP is kalay qanoon ko kisi bhi soorat mein nafiz karne ke liye bazid hai lekin shayad usay bhi khud andaza hai ke CAA ka awwal to nifaz kitna mushkil hai aur agar saaray Hindustan mein ye kala qanoon nafiz kar bhi diya gaya to is ki wajah se jo lakhoun afraad apni shehriat se mehroom ho jaien ge to inhen herasti marakaz mein qiyam o ta-aam ka intizam hukoomat kis tara kar paye gi?

CAA ke nifaz mein waisay to kayi ek bairooni aur dakhli rakawaten mojood hain jin mein agar chand ek ahem ruukawatoun ki baat karen to sab se pehlay Hindustan ki Immigration Policy is ki ijazat nahi deti. Ghair qanooni Immigration se mutaliq Hindustan ki koi wazeh aur qatee Policy nahi hai. Ye aqwam mutahidda ya is mauzo par deegar bain ul aqwami qawaneen ka bhi dastakhat kanandah nahi hai. Ghair qanooni tarkin watan sabhi Hindustanyoun ke sath ghul mil jatay hain aur un mein se beshtar ke paas mukhtalif shehrioun jaisay shanakhti Card aur deegar cards maojuud hain. Un ka asal mulk konsa hai usay bhi saabit karna bhi mushkil hai.

Kisi mulk mein ghair qanooni tarkin watan ki shanakht karna aur un ke sath munasib maamla karna yaqeenan zurori hai. Tamam mumalik ke paas Immigration Policy hai jo un ki abadi aur deegar umoor par munhasir hai mukhtalif mumalik ki Immigration Policy mukhtalif hosakti hai wo America ya Roos ki terhan wasee pemanay par mukhtalif ho satke hain. Hindustan ke paas Immigration ki qatee Policy muratab ki jaye lekin ye tareeqakar se hona chahiye. Pehlay Hindustan ko apni Immigration Policy ki wazahat karni chahiye. Doosri baat ye ke is par amal daraamad asan bananay ke liye bain ul aqwami hijrat / mohajir qawaneen ke sath hum aahang hona chahiye.

Ghair qanooni tarkin watan ki mardum shumari ke baghair CAA ko nafiz karna mumkin nahi hai. Dar haqeeqat ye mantaqi iqdaam ghair qanooni tarkin watan ki mardum shumari aur muntakhib group ki shanakht mukammal honay ke baad hi uthana chahiye tha liken siyasi faida uthany ke liye hukoomat ne jo hemaqat ki hai wo is mein ulajahti jarahi hai.

BJP apne Vote Bank ki baqa ke liye CAA aur NRC ka istemaal kar rahi hai. Is kalay qanoon ke khilaaf ehtijaj kar rahay muzahireen se baat karne par hukoomat raazi nahi hai aur CAA ke musavyanah iraday ki wazahat karne ke liye koshish karne ke bajaye arbab majaaz kahi aur ghoomnay phirnay mein masroof hai. Tibet, Sri Lanka aur Myanmar, Pakistan aur Bangladesh se anay walay muntakhib Group jaisay ghair qanooni tarkin watan ke sath kiya hoga un ko wapas bhejna aaccha hoga, Lekin kiya ye ho sakta hai? Hindustan ke kuch asal bashindoun ko bhi ghair qanooni qarar dainay ka khatrah hai, Jaisa ke Assam mein huwa hai. –YTN STAFF