Thursday, April 25, 2024
HomeIndiaHindustan ki baghair driver ki pehli Metro Train ka iftitah

Hindustan ki baghair driver ki pehli Metro Train ka iftitah

New Delhi: Wazeer-e-azam Narendra Modi ne aaj Delhi metro ki Magenta line per Hindustan ki baghair driver ki pehli Metro Train ka iftitah kiya.

Modi ne video conferencing ke zareya hi airport express line par national common mobility card khidmaat ka bhi aaghaz kiya. Delhi metro ki Magenta line par baghair driver ki train ke aaghaz se Delhi metro rail coopration (DMRC ) duniya ke un saat feesad metro net work mein shaamil hogayi, jahan baghair driver ki Asri train chalaye ja rahi hai.

Delhi metro ke mutabiq taqreeban 37 kilometer taweel Magenta line par baghair driver ki train khidmaat se ek ahem kaari dor, 57 kilometer taweel pink line par bhi saal 2021 ke wast se baghair driver ki train khidmaat shuru hojayengi. Un ahem umoor ki takmeel ke baad Delhi metro ke taqreeban 94 kilometer taweel net work per self drive Rails ki aamad wo raft yakheeni hojayegi, jo duniya ke baghair driver walay Metor network ka taqreeban 9 feesad hoga.

Yahan Is baat ka tazkara bhi ahem hai ke self drive trians mukammal tor par khudkaar hongi jinki khidmaat ke liye insani khidmaat ki kam se kam zaroorat hogi.

Alawa azeen airport metro par national common mobility card bhi ek aur ahem kamyabi hai, jis mein haal hi mein pichle 18 mah mein mulk ke kisi bhi hissa ke 23 bankoun ke zareya jari card ka haamil koi bhi fard is card ke istemaal se airport express line par safar karne ka ahal hoga. umeed ki jarahi hai ke ye sahoolat saal 2022 tak Delhi metro ke tamam Network par dastyab hojayegi.