Thursday, May 16, 2024
HomeSliderHindustan ke khilaaf karwai ke liye Pakistan ka ICC se phir rabita

Hindustan ke khilaaf karwai ke liye Pakistan ka ICC se phir rabita

Karachi: Pakistan Cricket Board ke Chairman Ehsan Mani ney BCCI ki janib se khiladion ko Army Cap pehan kar Australia ke khilaaf match khailney ko ghalat qarar dete huwe kaha hai ke hum chahtay hain ke International Cricket Council (ICC) is muamlay par karwai karen. Karachi mein sahafion se guftagu karte huwe Ehsan Mani ney kaha ke ICC ko is muamlay mein koi ghalat fehmi nahi hai, Cricket ko bator siyasat istemaal nahi karna chahiye .

Hindustani Cricket Team ney aik ghalat faisla kiya jis ki wajah se un ka miyar gira hai. Hindustani Team ke faislay par aitraaz karte huwe unhon ney kaha ke South Africa ke Imran Taher aur England ke Moeen Ali ke khilaaf ICC ney qadam uthaya tha aur hum chahtay hain ke ICC isi terha Hindustani Cricket Board ke khilaaf bhi karwai kere. Ehsan Mani ney kaha ke is muamlay par ICC ko dosra khat likhney jarahay hain kyun kay hum nahi chahtay ke Cricket Siyasat ke liye istemaal ki jaye. Is se qabal Pakistani wazeer e kharja Shah Mahmood Qureshi ney Hindustani team ki janib se Australia ke khilaaf match mein Army Cap pahanney par kaha tha ke duniya ney dekha ke team ney Army Cap pehni, ICC ko chahiye ke woh is muamlay ka notice le.

Yeh cricket nahi hai, mein umeed karta hon ke gentleman Game ko siyasat ki Nazar karne par ICC karwai kere gi. Unhon ney tajweez dete huwe kaha ke agar Hindustani cricket team ko nahi roka gaya to Pakistani cricket team ko Kashmir ke hawalay se duniya ko waqaif kar wane ke liye siyah pattiyan pehan leni chahiye. Yaad rahay ke Hindustani Team ney Australia ke khilaaf Series ke teesray Oneday mein afwaj se izhaar e yak jehti ke liye Army Cap pehan kar match khela tha.