Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaHindustan ke damaad Boris Johnson ki kamyabi par ek tabqa kaafi khush

Hindustan ke damaad Boris Johnson ki kamyabi par ek tabqa kaafi khush

London:New Delhi: Bartania Wazeer-e-Azam Boris Johnson ki kamyabi par hindustan mein ek halqa kaafi khush hai kyun kay unke Hindustan se ek khaas talluq hai. Ek waqt Johnson ne khud ko hindustan ka damaad qarar deya tha. Darasal unki sabiq biwi Marina Wheeler ka talluq hindustan se hai. Marina aur Johnson mein guzashta baras alehadgi ho gayi thi aur dono ke darmain talaq ka muqadma chal raha hai.

Marina hindustan ke maroof sahafi aur Adeeb Khushwant Singh ki bhateeji hain. Marina ki walida Dip Singh, jo abhi hayaat hain un ki shadi Khushwant  Singh ke chhootey bhai  Daljit Singh se huvi. lekin mukhtasir muddat ke baad dono mein talaq ho gayi aur is ke baad Dip Singh ne Bartania sahafi sir Charles Wheeler se shadi karli.

Dip Singh ki badi behan Amarjit Singh ki shadi bhi Khushwant  khandan mein hi hui. Unki shadi Khushwant  Singh ke baday bhai Bhagat Singh ke sath hui thi. Ye maamla yahin khatam nahi hota hai. Is ka ek dilchasp talluq Bollywood ke adakar Saif Ali Khan se bhi hai. Saif Ali Khan ki sabiq biwi aur adakara Amrita Singh Bhagat Singh ki bhateeji hain.

Ye rishta khasa paicheeda dikhayi deta hai. Lekin Adiba Naomi Datta ne is paicheeda moamma ko twitter par sahal andaaz mein kuch is terhan bayan kiya hay Boris Johnson ki saas ne Khushwant  Singh ke sab se chhootey bhai se shadi ki. Unki behan ki shadi Khushwant  Singh ke baday bhai se hui. Saas ne kisi dosray shakhs se shadi kar li, Jis se 2 betiyan peda huien un mein se ek Marina ki shadi Boris Johnson se hui.

Marina ke sath Johnson ki shadi 1993 mein hui thi aur dono mein takreeban 25 baras tak miyan biwi ka talluq raha. Dono se 4 auladin hain. Guzashta baras dono mein alehadgi honay se qabal Boris apni biwi Marina ke sath mutadid baar hindustan ke doray kiye hain. Boris jab bhi hindustan atay to apni ahliya ke rishta daaroun ke paas Delhi ya Mumbai mein qiyam zaroor karte they.

Khushwant  Singh ke betay aur maroof sahafi Rahul Singh ne English roznama mein apne ek colum mein likha hai ke Johnson guzishtha baras apni biwi aur 3 bachoun ke sath run Tiger of Ranthambore National Park.

aaye they. Khandan ke logoun ke sath mulaqaat ke douran unki Johnson se bhi mulaqaat hui thi. Rahul Singh mazeed likhte hain chand baras qabal Johnson se Mumbai mein meri mulaqaat hui thi. Lekin ye pehla mauqa tha jab un ke sath barah-e-raast aur kaafi tafseeli guftagu karne ka mauqa mila. Mujhe ye dekh kar herat hui ke inhen hindustan aur yahan ki siyasat ki kaafi maloomat hain.

Bataya jata hai ke Bartania Wazeer-e-Azam Johnson 2003 mein Bhagat Singh ke potay ki shadi mein shirkat ke liye janoobi riyasat kerala gaye they, Jahan ek hathi ne un par hamla kardiya tha. hindustan ke hawalay se Johnson ko kayi martaba sharmindagi bhi uthani padi hai. Jab wo kharja secretary they to unhoun ne Sikhoun ke ek gordware ka dora ke douran hindustan mein Whisky  export karne ki baat kar di thi jab ke Sikh mazhabi lehaaz se alchohal ko haraam qarar dete hain. Ek Sikh khatoon ne Boris Johnson se gussa mein kaha aap ko Sikhoun ke gordware mein aisa kehnay ki himmat kaisay hui.

Boris Johnson ke Wazeer-e-Azam muntakhib honay par Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne mubarak baad dete hue Twit kiya, Boris Johnson ko bhaadi aksariyat se Iqtidaar mein wapas lotney par mubarak baad. Meri taraf se inhen nek khwahisaat. Hind. Bartania ke qareebi taluqaat ke liye hum sath mil kar kaam jari rakhen ge. –YTN STAFF