Thursday, May 2, 2024
HomeSliderHindustan ka naya qanoon CAA ghair Zaroori hai : Sheikh Hasina

Hindustan ka naya qanoon CAA ghair Zaroori hai : Sheikh Hasina

Bangladesh : Bangladesh ki wazeer-e-aazam Sheikh Hasina  ne CAA ke talluq se kaha hai ke Hindustan ke shehriat ke qanoon mein tarmeem ghair Zaroori thi. unhon ne Abu Dhabi mein ek interview ke douran media ko bataya ke ”hamein samajh mein nahi araha hai ke hindustani hukoomat ne aisa kyun kiya? yeh Zaroori nahi tha“. Decemeber mein parliment mein is qanoon ke Manzoor honay ke baad mulk bhar mein is qanoon ke khilaaf kiye jarahay ehtajaji muzahiron ke baad Bangladeshi wazeer-e-aaazm ka ye pehla tabsarah hai.

Shehriat tarmeemi qanoon, Jo parliment mein 11 decemeber ko Manzoor kiya gaya tha aur 13 decemeber ko sadar ram nath kovind ki dastakhat ke baad qanoon ban gaya tha. ye qanoon, 3 mumalik Bangladesh, Afghanistan aur Pakistan se taluq rakhnay wali 6 aqliati mazhabi brathariyoun se taluq rakhnay walay muhajreen ko hindustani shehriat faraham karta hai, basher-teke woh Hindustan mein 6 saal se reh rahay hoon, aur 31 decemeber 2014 tak mulk mein daakhil hue hon. is qanoon mein musalmanoun ko shaamil na karne par badey pemanay tanqeed ki ja rahi hai. shumal mashriqi reyaston mein muzahireen ko lagta hai ke yeh qanoon mazhabi bunyadon par ghair mulkion ko shehriat dekar unki nasli shanakht ko khatam kar deyga.

Sheikh Hasina  ne CAA aur mujawaza qaumi register of citizen ( NRC ) ko Hindustan ka androoni maamla qarar diya. unhon ne kaha ke ”Bangladesh ne hamesha kaha hai ke CAA aur NRC Hindustan ke androoni mamlaat hain. hindustani hukoomat bhi yeh baar baar kehti hai ke NRC Hindustan ka androoni maamla hai.

Bangladesh ki wazeer-e-aazam ne iski tardeed ki ke aqliati baradrion ne zulm wo sitam ki wajah se apna mulk chodh diya. Wazeer-e-dakhla Amit Shah ne jo kaha hai, is se iska barah-e-raast tazaad hai. decemeber mein parliment mein behas ke douran, Shah neh baar baar Afghanistan , Bangladesh aur Pakistan mein aqliati baradrion, khaas tor par hinduo par zulm wo sitam ka hawala diya.

Shehriat tarmeemi act par tanao ke darmiyan, Bangladesh ke 3 wazraa ne apna dora Hindustan mansookh kar diya hai. hafta ke roz, Bangladesh ke naib wazeer-e-kharja shehar aalam neh 14 se 16 Januray tak wizarat-e-kharja ki salana conference mein shirkat ke liye nai Dehli ka taye shuda dora mansookh kar diya.

Bangladesh ke wazeer-e-kharja AK Abdul Mannan ke Hindustan na janay ke faislay ne 12 decemeber ko unka 3 roza dora Hindustan mansookh kar diya aur is ke ek din baad un ke kabeena ke saathi wazeer-e-dakhla asad zaman Khan ne Meghalaya ke dar-ul-hukoomat shilong ka muqarara zaati dora kya. –YTN STAFF