Saturday, May 4, 2024
HomeSliderHindustan ka Australia mein sakht imthehaan hoga: Ganguly

Hindustan ka Australia mein sakht imthehaan hoga: Ganguly

New Delhi: BCCI ke sadar Sourav Ganguly ne Australiayi doray ke zimn mein izhaar khayaal karte hue kaha hai ke Virat Kohli ki qayadat mein Hindustan team ko Australia mein sakht challenge mutawaqqa hai. Wazeh rahay ke Hindustani team ka Australia ka dora 27 November se shuru hoga. Australiayi doray par Kohli ki team 3 ODI, 3 Twenty20 aur 4 test match khailay gi.

Ganguly ne kaha ke Australiayi team apni sarzamen par hamesha hi sakht hareef rahi hai. Sabiq Captain Steve Smith aur David Warner ki wapsi se Australia mazboot hogi hai. Jabkay Labuschagne Marnus jaisay khiladi behtar hogaye hain. Australia mein hindustani team ka imthehaan hoga lekin woh jeetnay ke qabil bhi hain. Ganguly ne bhesiat khiladi 3 martaba Australia ka dora kiya hai. Ganguly 2003-04 mein Australiayi doray par team ke captain thay. Un ki qayadat mein pehli martaba hindustani team Australia mein series 1-1 se draw karne mein kamyaab rahi. Australia mein pehli martaba 2018-19 mein qaumi team Kohli ki qayadat mein 2-1 test series jeetnay mein kamyaab rahi thi lekin is waqt Australiayi team ko Smith aur Warner ki khidmaat dastyab nahi theen.

Is martaba is ke tamam ahem khiladi team mein muntakhib honay ke liye dastyab hain. Ganguly ka khayaal hai ke series mein dono teams ke liye barabari ka mauqa hai. Score board ko mutharrak rakhna ahem hoga. Jo bhi achi batting kere ga woh series jeet jaye ga. Ganguly ne kaha ke Hindustan ke paas bhi Australiayi team ki terhan taiz raftaar bowlers hain. Maheman team Mohammad Shami , Jasprit Bumrah aur Navdeep Saini par mushtamil hai. Un khiladion ki wajah se fast bowling shoba kaafi behtar hai.

Baen haath ke sabiq Opener Ganguly ne kaha ke agar opener Rohit Sharma aur Fast Bowler Ishant Sharma. Border–Gavaskar Trophy Trophy se pehlay fit ho jatay hain to test team mein un ka ahem kirdaar ho sakta hai. Hum Ishant aur Rohit ki nigrani kar rahay hain. Ishant ko mukammal tor par team se baher nahi kiya gaya aur woh test series ka hissa ban satke hain. Hum chahtay hain ke Rohit Australia ke liye fit ho jaien. Agar woh fit hotay hain to mujhe yaqeen hai ke selectors un ke intikhab par dobarah ghaor karin ge.