Friday, May 3, 2024
HomeSliderHindustan ka aaj Semi Final mein Pakistan se muqaabla

Hindustan ka aaj Semi Final mein Pakistan se muqaabla

World Cup ka ahem muqaabla Hindustani waqt ke mutabiq dopehar 1:30 shuru hoga

Potchefstroom: 4 martaba ki Champion Hindustani team under 19 World Cup mein kal Pakistan ke khilaaf Semi Final muqaabla mein shirkat karte hue mutawatar teesri martaba Final mein rasai ke liye koshan hogi. Hindustan aur Pakistan dono hi teamoun ne na qabil taskheer rehtay hue Semi Final mein rasai haasil ki hai. Hindustani team ne Quarter Final mein jahan Australia ko shikast di wahein Pakistan ne apne Quarter Final muqaabla mein Tournament se bahar kiya hai. Pakistani team ke captain Rohil Nazeer ne kaha hai ke Hindustan aur Pakistan ke muqaabla ko hamesha hi sakht dabao wala muqaabla zahir kiya jata hai aur ye aisay muqaabla hotay hain jo kay dono hi teamoun ke khiladioun ki salahiyatoun ka imthehaan letay hain.

Muqaabla mein behtar muzahira karna team ke liye klidi hota hai. Is haqeeqat se sabhi khiladi waaqif hotay hain. Pakistani Opener ne kaha ke Hindustan ke khilaaf ye muqaabla ek sakht dabao wala muqaabla hoga lekin hum is muqaabla ko ek aam muqaabla ki terhan khelain ge. Semi Final mein hindustani team ko nafsiati sabqat haasil rahay gi jaissa ke is ne Asia Cup ke muqaabla mein guzashta September mein Pakistan ko shikast dete hue khitaab haasil kiya tha.

 Media ke bamjab jab se Corona phela hai ye ab tak ek din mein virus se honay wali sab se ziyada halakten hain. China mein ab tak is waba se 425 afraad halaak ho chuke hain jo 2003 mein phelnay wali waba saras se honay wali halakatoun se ziyada hain. Wazeh rahay ke saras nami Virus se China mein 349 jabkay duniya mein 800 ke lag bhag afrad halaak hue they. China mein virus se mutasirah mazeed 3253 mareezoun ki tasdeeq hui hai jis se Corona mutasireen ki jumla tadaad 20 hazaar 400 se tajawaz kar gayi hai.

China ki hukoomat ne virus phelnay ke baad America ki janib se rad-e-amal par sakht jawab dete hue usay afratafri phelanay ka zimma daar kaha hai. Wazeh rahay ke America ne Coronavirus ke phelnay par aisay tamam afraad par apne mulk mein dakhlay par pabandi aed ki hai jo haal hi mein China gaye hon. China se ye virus ab tak 20 mulkoun tak phail chuka hai aur kayi mumulk ne China se anay jane walay musafiroun ke liye qawaid sakht kiye hain. China mein phelnay walay virus ko aalmi idaara sahet Global Health Emergency qarar day chuka hai jabkay guzashta roz is waba se China se bahar pehli halakat ki Philippine mein tasdeeq ki gayi thi. –YTN STAFF