Tuesday, April 23, 2024
HomeIndiahindustan dusray test mein 317 runs se kamyaab

hindustan dusray test mein 317 runs se kamyaab

Hindostan ne England ko dusray cricket test match mein 4th din mangal ko 317 runs ke bhaari farq se shikast de kar chaar match’s ki test series mein 1-1 se barabar kar li.

Hindostan ne England ko kamyabi ke liye 482 runs ka mushkil nishana diya tha. kamyabi ke liye nishanay ke taqub mein England ki team teen wicket par 53 runs se agay khailtay hue chouthay din dusray session mein 164 runs par simat gayi. Left hand ke spiner akshar patel ( 60 run par paanch wicket ), of spiner ravichandran ashwin ( 53 run par teen wicket ) aur china me Kuldeep Yadav ( 25 run par do wicket ) ke jaal mein phas kar England ne khud parasdi kar di aur hindustan ne saade teen din ke andar dusre test 317 runs ke bade farq se jeet liya aur chaar test match’s ki series mein 1-1 se barabari karli .

ALSO READ: Nadeem ki shamoliat ka kohli ne difaa kiya

seen fatah ke sath hi hindostan ne ICC test championship ke final mein pounchanay ki apni umedon ko barqarar rakha. hindostan ko ab Ahmedabad mein khailay jane walay baqi do test mein se ek mein kamyabi haasil karni hai aur draw khelna hai jabkay England ko baqi do test jeetnay honge. Ashwin ko match mein 8 wickets aur ek century ki all round karkardagi ke baad match ke behtareen khiladi ka award diya gaya tha. Hindustan ne guzashta roz apni dusri innings mein 286 runs banakar England ke samnay jeetnay ke liye 482 runs ka hadaf rakha tha. England ne aaj teen wicket par 53 run se agay khelna shuru kiya.

ALSO READ: Siraj ka ikhraj, kohli ke faislon par sawalia nishaan

Danial Lawrence ne 19 runs aur captain joe root ne do runs se apni innings ko agay badhaya. subah ke session mein England ki shikast is waqt tay hogayi thi jab unhon ne dopehar ke khanay tak 116 run par apni saat wickets gawadi. Hindustan spinners ne dusray session mein England ki innings 164 run par khatam kar di. England ki janib se moeen Ali ne 43 runs captain joe root ne 33 runs banaye. pehla test khailnay walay akshat patel ne doosri innings mein paanch wickets ke sath yadgar debut kiya. unhon ne match mein majmoi tor par saat wickten haasil kee. patel ne doosri innings mein 21 overs mein 60 run par paanch wickets haasil ki.