Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsHindustan Aur Pakistan Ka World Cup Mein Aur Muqabla Mumkin

Hindustan Aur Pakistan Ka World Cup Mein Aur Muqabla Mumkin

London : Hindustan aur Pakistan ke darmiyan cricket ka match intahi dilchasp aur high voltage hota hai aur agar woh muqaabla world cup ka semi final ho to phir is ke dilchaspi ka andaza lagana bhi kaafi mushkil hojata hai. rawan world cup mein dono teams ek martaba aamnay samnay aa chuki hain aur is muqablay mein Hindustan ne 89 runs ki kamyabi haasil ki thi lekin dono teamon ke ek martaba phir aamnay samnay honay ka imkaan paeda hota hua nazar araha hai aur agar aisa hota hai to Pakistani team doosri martaba Hindustan ka samnay karega.

pehlay junoobi Africa aur phir New Zealand ke khilaaf Pakistan ne jis tarha ka muzahira kiya hai is se wazeh tor par nazr aarhaa hai ke kaafi kuch badal gaya hai aur agar woh apne baqi dono match isi tarha se jeet lete hai to woh group mein chouthay number par askati hai aur phir Hindustan aur Pakistan ki teams ek martaba phir aamnay samnay hosakti hain. points table par Newzealand ko shikast dainay ke baad Pakistan 7 points ke sath chhatay number par pohanch gayi hai.

pehlay number par Australia, dosray par Newzealand, teesray par Hindustan aur chouthay par England hai taham England ke paas 7 matchoun mein 8 points hain aur agar woh baqi do matchon mein se koi match haarta hai to Semi final mein pohanchna iske liye mushkil hojayega. England ke liye mushkil yeh hai ke iske baqi do match Hindustan aur Newzealand ke khilaaf hain, jis mein sad feesad kamyabi haasil karna itna asaan nahi hoga aur agar woh dono match jeet jata hai to is ke 12 points ho jaien ge aur Semi final mein pohanch jayega. taham agar kisi ek match mein isko shikast hoti hai to phir is ke paas 10 points hi honge aur Semi final mein pohanchna mushkil hojaye ga.

wahein 7 matchon mein Pakistan ke paas 7 points hain lekin thodi raahat ki baat yeh hai ke is ke baqi matches Afghanistan aur Bangladesh se hain. Pakistan agar dono match jeet jata hai to phir is ke 11 points ho jaienge aur England ke ek match gunwanay ke baad Semi final mein is ke pounchanay ka imkaan badh jayega. alawa azeen agar Hindustan sabhi match jeet kar points table mein pehla number par rehta hai aur Pakistan chouthay maqam par aata hai, to phir Semi final mein Hindustan aur Pakistan ke darmiyan match ho sakta hai. qawaneen ke mutabiq pehlay maqam ki team ka saamna chouthay maqam par rehne wali team ke sath hota hai jabkay doosri maqam par rehne wali team ka match teesray maqam ki team se hoga aur un adaad shumaar ke aitbaar se rawan world cup mein Hindustan aur Pakistan ke ek aur muqablay ki umeed ki ja sakti hai. –YTN STAFF