Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsHindustan Aur New Zealand Mein Na Qabil Taskheer Rehne Ki Ladai

Hindustan Aur New Zealand Mein Na Qabil Taskheer Rehne Ki Ladai

Nottingham :  ICC world cup 2019 hamza mein ta haal 2 na qabil taskheer teamon Hindustan aur NewZealand  ke darmiyan jumeraat ko ahem muqaabla khela jayega jis mein dono ki teams Tournament mein apne Ghadi maftooh muaqqaf barqarar rakhnay ke liye koshan hongi jabkay aalmi Tournament mein Hindustan ke khilaaf New Zealand  ka record kisi qader behtar hai, lekin hindustani team ka moujooda form aur khiladion ki dasteyabi usay New Zealand  ko barabar ka challenge dainay wali team bana rahi hai. kal khailay jaane walay muqablay mein barish ke imkanaat ko bhi rad nahi kiya gaya hai.

Hindustani team ko apne kamyaab opener shekhar Dhawan ki khidmaat dastyab nahi hain kyunkay woh ungli ke zakham ki wajah se Tournament se 3 haftoun ke liye bahar ho chukay hain. Dhwan aur Rohit sharmaa ki kamyaab jodi ne Career mein 4,681 runs score kiye hain aur team ke liye kamyaab tareen opening jodi ka record apne naam kiya hai, lekin Dhoni ki Adam moujoodgi se team mein moujood teesray opener KL Rahul ko inning ke aaghaz aur khud ki salahiyaton ko manwane ka mauqa mileyga.

Rohit aur Rahul ki opening jodi ko New Zealand  ke baen haath ke fast bowler Trent Boult,
Henry Nicholls aur
Lockie Ferguson ki teiz gaindon ka challenge rahayga. number 3 par Virat kohli hasb-e-mamool batting karenge jabkay number 4 ke liye all rounder Vijay Shankar aur dinesh kartik ke naamon par ghor kiya ja raha hai. hindustani team ke coach Ravi shastri aur captain Virat kohli se umeed ki jarahi hai ke woh Vijay Shankar ko unki all round salahiyaton ki bunyaad par Kartik par tarjeeh denge .

number 4 jo kay world cup se pehlay bhi ahem mauzo raha hai ke aakhir is number par konsa khiladi batting karega aur ab kal New Zealand  ke khilaaf khailay jaane walay muqablay mein bhi yeh maqam mauzo hai. doosri janib NewZealand  ki team jis ne –apne ibtidayi tenu muqablon mein ftohat haasil karte hue Tournament mein ta haal na qabil taskheer muaqqaf ke sath pehlay maqam par Faiz hai, woh apne opener martin Guptill se taiz raftaar shuruvaat ke ilawa team ke captain Kane Williamson aur Ross Taylor se ek zimma-daarana batting ki umeed kar rahi hain. bowling shoba mein is ka asal hathyaar Boult honge jinhon ne apni Swing bowling se pehlay hi batsman ko pareshan kar chukay hain. wicket par agar Swing nahi mili aur Boult mutasir karne mein nakaam rahenge to bhi NewZealand  ke paas Ferguson mojood hain jokay 150 kilometer fee ghanta ki raftaar se bowling karne ke alawa hindustani batsman ko pareshan kar saktay hain . –YTN STAFF