Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderHindustan aur China Americi samandar ko aaluda kar rahay hain : Trump

Hindustan aur China Americi samandar ko aaluda kar rahay hain : Trump

Washington : Americi sadar Donald Trump ne kaha hai ke Hindustan, China aur Russia jaisay mumalik Los Angeles ki taraf aanay walay samandar may sanati fazla aur fazai aloodgi ka baais bannay wali tansibat ko theek karne ke liye kuch nahi kar rahay hain.

Economic club of New York may khitaab karte hue Trump ne kaha ke mere khayaal may mosamyati tabdeeli kayi hawaloun se ek paicheeda masla hai. maholiyaat ke muamlay par meri tavajja hai aur may chahta hun ke zameen may saaf huwa aur pani muyassar ho.

Americi saddar ne khitaab may kaha ke America ek tarfah , muashi nahamwari aur khatarnaak policion se dast bardaar huwa hai. Paris muahiday ko tanqeed ka nishana banatay hue unhoun ne kaha ke badtareen Paris moahida American ka rozgaar kaha gaya aur aloodgi phelanay walay ghair mulkioun ko tahaffuz de diya, isliye ghair mulki apna samaan samaiten, hamein kisi qisam ki tawanai ki zaroorat nahi hai.

unhoun ne kaha ke ye moahida America ke liye ek aafat tha jis se America ko kharboun Dollar ka nuqsaan huwa. Donald Trump ne sharka ke qehqahoun ke douran kaha ke ye theek nahi hai kyunkay is ke baais china ko 2030 tak bahar nahi nikala ja sakta hai, Russia 1990 may wapas gaya jab duniya ka aaloda tareen saal qarar diya gaya tha.

taraqqi pazeer mumalik ke hawala dete hue unhoun ne kaha ke Hindustan ko hum paisay dete hain kyunkay woh ek taraqqi pazeer mulk hai, to may ne kaha hum bhi ek taraqqi pazeer qoum hain kyunkay WTO ke mutabiq china ta haal taraqqi Pazeer mulk hai.

Americi saddar ne WTO ki janib se china ko taraqqi pazeer mulk kehnay par kaha ke hum ne un ko ek khat likha hai ke china ko taraqqi pazeer qoum qarar dena munasib nahi hai kyunkay is ki bunyaad par unhoun ne fawaid haasil karliye hain.

ek sawal par Trump ne kaha ke mosmyati tabdeeli ke hawalay se jab bhi sawal kiya jata hai to mera jawab hota hai ke mujhe ek masla hai, hamaray paas America ki soorat may zameen ka ek chhota sa tukra hai jis ka taqabul china, Hindustan aur Russia jaisay deegar mumalik se kya jata hai.

Donald Trump ne un mumalik ka hawala dete hue kaha ke deegar tamam mumalik ki terhan yeh bhi Los Angeles ki taraf barhatay hue samandar may tamam kora phenkhte hain aur aloodgi phelanay wali apni tansibat ko theek karne aur plants ko behtar banane ke liye kuch bhi nahi kar raha hain. unhoun ne kaha ke koi is par baat nahi karna chahta aur hamaray mulk ke barey may baat karte hain jaisay ye sab kuch hum ne kiya ho lekin china ka is may kiya kirdaar hai.

fazai aloodgi ko khatam karne par zor dete hue unhoun ne kaha ke America may is waqt guzashta 40 barsoun ke douran shafaaf tareen aabb-o-huwa muyassar hai, mere khayaal may 200 saal qabal America saaf tha lekin is waqt atraaf may itna kuch nahi tha. Donald Trump ne kaha ke may chahta hon ke huwa, pani aur mahol saaf suthra ho. khayaal rahay ke America ne mosmyati tabdeeli ke hawalay se 2015 ke Paris muahiday se baqaida dast bardari ka elaan kardiya jahan duniya ke 188 mumalik Global warming ko khatam karne ke liye tareekhi muahiday par mutfiq hogaye they. -YTN STAFF