Monday, May 20, 2024
HomeSliderHindustan aur Australia ke darmiyan ODI series, sydney mein himaliyai score mutawaqqa

Hindustan aur Australia ke darmiyan ODI series, sydney mein himaliyai score mutawaqqa

Sydney: Hindustani cricket team corona ke bohraan mein apni pehli bahami series khailaygi aur unka pehla muqaabla Australia ke khilaaf sydney ground mein jummay ko ODI hoga. Hindustan ne 2018-19 mein australiyai sarzamen par teen ODI matchon ki series 2-1 se jeeti thi lekin is martaba halaat bilkul mukhtalif hain aur australiyai team guzashta ke muqablay mein ziyada mazboot nazar aarahi hai. ye series ICC ODI world cup super league ka hissa hai jis mein har match jeetnay par point mileinge. Is super league ke tehat yeh Hindustan ki pehli ODI series hai. Hindustan ko 2023 mein 50 overs ke world cup ki maizbani karni hai. world cup mein raast rasai karne wali teamon ka faisla is league ki bunyaad per hoga.

Hindustani team ke beshtar khiladi is mahinay 10 November ko UAE mein khatam hui IPL ka hissa thay aur team ke tamam khiladi barah-e-raast Dubai se sydney pohanche hain aur yahan team 14 din ke qarantina mein rehne ke baad corona mein apne pehlay bain ul aqwami match ke liye tayyar hochuki hai.

Doosri janib australiyai team ne IPl se qabal England mein 3 T20 aur 3 one day series kheli thi. Australia ke super league mein 3 matchon mein se 20 nishanaat hain jab ke Hindustan ko apna khatah kholna hai.
Qataee 11 khiladion ka intekhab ek challenge

Virat kohli ki qayadat mein team ke liye ODI series ke liye sahih team ka intikhab karna ek bohat bada challenge hai. mehdood overs ke naib captain Rohit sharma ko azlaat manjektran ki wajah se ODI aur T20  series se bahar hogaye hain. unki Adam mojoodgi mein shikhar Dhawan ke saathi opener KL  Rahul hosaktay hain. Rahul ne IPl 13 mein kings eleven Punjab ki taraf se khailtay hue tournament mein sab se ziyada runs banaye hain.

Rahul rawan saal ke shuru mein Australia ke khilaaf Hindustan ki ODI series mein middle order mein utre thay aur panchwin number par batting ki thi lekin Rohit ke bahar honay ki wajah se inhen opening mein mauqa diya jasakta hai jis se Hindustan series ke pehlay match mein achi shuruvaat kere. khud Rahul ne kaha hai ke woh team ki zaroorat ke mutabiq kisi bhi number par khailnay ko tayyar hain .

Kohli 12 hazaar runs ke record ke qareeb

Team mein iftitahi dawaydaar ke tor par Mayank Agarwal aur sanju Samson bhi shaamil hain jinhon ne IPl mein shandaar karkardagi ka muzahira kiya. Rahul aur Samson dono wicket keeper hain lekin wicket keeper ke tor par team ki pehli pasand Rahul hain. captain kohli teesray number par khailnay utrainge. Kohli is series mein 12000 runs mukammal karne karikard haasil kar saktay hain. unke naam mein 248 matchon mein 11867 runs hain. Rohit ke bahar honay se mehdood over mein kohli ki zimmedaari ziyada badh jayegi.

Apni captani mein Dehli capitals ko IPl ke final tak le jane walay shreyas iyer chouthay number par rahenge. Manish panday aur shubhman Gill mein se koi panchwin number par khailaygaHardik pandya chhatay number par jabkay naye finisher all rounder ravinder jadeja satwen number par rahenge. spinner ki jagah ke liye league spiner yuzvendar chahal ko Kuldip yadav par tarjeeh mileygi. Fast bowling ka zimma jasprit Bumrah, Mohammad Sami aur navdip saini par rahayga. aakhri eleven mein jagah bananay ke liye saini ko shradul Thakur se challenge mil sakta hai.

 

Australia guzashta series ki terhan kamzor nahi

Doosri taraf australiyai team guzashta ke muqablay mein is baar mazboot Nazar aarahi hai. Jarehana opener David Warner aur tajurbah car Stevin smith team ki batting ko mazbooti fraham karenge.

Warner aur Smith ke sath captain Aaron finch , fast bowler Pat cummins, josh Hazlewood, Glenn maxwell, marcus stoinis aur league spiner Adam Zampa ne IPL mein khela aur yeh tamam khiladi achay form mein nazar aarahay hain.

Australiyai fast bowler Pat cummins, Mitchell starc, andrew tie aur josh hazlewood Hindustani batsmans ka sakht imthehaan lainay ke liye tayyar hain. spin ke shobay mein baen haath ke spiner eager aur league spinner Adam zampa ke mabain muqaabla hoga. All rounder ke kirdaar ke liye Glenn Maxwell aur marcus stoinis apne daawa paish karenge. Stoinis IPL mein khailay aur bohat kamyaab rahay jabkay England ke khilaaf aakhri ODI mein century bananay walay Maxwell ne IPL mein kaafi jad-o-jehad ki thi.

Batting  zimma captain finch, warner aur Smith aur Marnes Labouzin par rahayga. Marnes Labouzin , taham England ke khilaaf teen one day matchon mein koi bada score nahi bana sakay thay lekin unke naam 10 ODI matchon mein ek century aur do nisf centuria darj hain. is series ke sath hi Hindustan aur Australia ki one day tareekh mein 40 saal mukammal ho rahay hain aur 2023 world cup ke paish-e-nazar dono temen series mein ziyada se ziyada nishanaat jama karne par nigah rakhengi. series ka dosra match 29 November ko sydney mein khela jayega jabkay teesra match 2 decemeber ko Canberra mein khela jayega.