Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderHindustan aur Australia ke darmiyan 100th test, Rahane ko kaptani ka aizaz

Hindustan aur Australia ke darmiyan 100th test, Rahane ko kaptani ka aizaz

Melbourne: Hindustan ke baqaida captain virat kohli ki jagah Rahane boxing day test mein team ki kamaan sambhalainge aur unke liye yeh muqaabla ek aizaz bhi hoga kyunkay Hindustan aur australia ke darmiyan yeh 100th test hoga aur Rahane ko is 100th test mein captani karne ka aizaz haasil hoga.

Rahane is tareekhi test match mein hindustani team ki wapsi ke liye koi kasar nahi chhodna chahainge.

series mein barqarar rehne ke liye Hindustan ko yeh test match jeetna hoga. Hindustan ne 2018-19 doray mein Boxing day Test ka muqaabla 137 runs se jeeta tha. Is martaba Boxing day Test mein

Hindustan ko apni sabiq kamyabi se tehreek haasil karne ki zaroorat hogi. Hindustan ne is umeed mein chaar tabdeelian ki hain ke team is match mein wapsi kar sakay. Captain Rahane ne match se qabal yahan kaha ke team pichli shikast ko faramosh kar chuki hai aur woh ek ikai ke tor par wapsi ke liye tayyar hai. Kohli ki Adam mojoodgi mein Rahane par izafi zimmdaari aagai hai ke woh team ko ghair mulki sarzamen par apni karkardagi se team ko kamyabi delaina.

Hindustan ne aakhri martaba 2011 mein ek hi Test mein 2 ya 2 se ziyada khiladion ko career ke aaghaz ka mauqa diya tha jab kohli, Praveen kumar aur Mukund ne west indies ke khilaaf careeer ka aaghaz kiya tha. Series ke douran Hindustani team mein chaar tabdeelian karne ka mauqa is se qabal MS Dhoni ki captani mein Australia ke doray mein is waqt aaya jab dhoni series ke darmiyan mein captani chodh kar Test cricket se subukdosh hogaye thay.

Alawa azeen Australia ke khilaaf Test series ke baqi 3 matchon ke liye mustaqil captain virat kohli ki jagah team ki captani sambhalay walay ajinkya Rahane ne Boxing day Test match se qabal kaha ke team ki captani karna unke liye bara mauqa hai lekin woh khud par ghair zaruri dabao nahi dalainge.   Rahane ne dosray Test match se qabal kaha ke hindustani team captani karna yakeeni tor par bara mauqa aur zimmedaari hai lekin mein khudko ghair zaruri dabao mein daalna nahi chahoonga. unhon ne kaha mein zaati tor par pursukoon rehta hon lekin meri batting thori jarehana hai. mein apna khel khelonga aur kal se sab kuch ek team ke tor par khailnay ke baray mein hai.