Hyderabad: Hindustani khalayi jaanch Agency (ISRO) ne ek ahem sang mil ku obuur kiya jab is ne EPK Sriharikota se 300 se zayed bairooni Sitelightes ko kamyabi ke sath chodney ka kaam mukammal kiya. CARTOSAT-3 ke sath America ke 13 Nanu Sitellites ko chodney ke baad ISRO 310 bairooni Sitellites ko chodney mein kamyaab raha. Ittafaq ki baat ye hai ke is sang mil ko ISRO ki launch vahicle PSLV ke zareya uboor kiya gaya hai jis ne ek wahid mission ke zareya maazi mein 100 se zayed Sitellites ko choda aur in ko mukhtalif madaroun mein pohanchaya tha.
Is ne ISRO ke kaafi bharosa honay ka saboot diya. Ta haal hindustan ne PSLV Rocket ke zareya 297 Sitellites ko choda hai. Aaj ke PSLV mission ke sath hi is ne 300 bairooni mumalik ke Sitellites ko chodney ka kaam mukammal karliya aur ab ye tadaad 310 se tajawaz kar gayi hai. America ke 13 Nanu Sitellites ko chodney ka kaam ISRO ke tijarati aur haal hi mein shuru kardah new space India limited ki janib se kiya gaya hai. ISRO ke zaraye ne kaha ke new space India ne PSLV ki nodel agency ke tor par bhi kaam kiya hai. Is ka pehla mission imkaan hai ke 2020 ke awail mein hoga.
S Ram Das ne CARTOSAT-3 aur deegar 13 Americi Sitellites ko kamyabi ke sath chhodey jaaney par ISRO ke science danon ko mubarakbaad pesh ki aur iss ke mustaqbil ke mission ke liye nek تمناؤں ka izhaar kiya. Apne twit mein unhoun ne kaha mujhe musarrat horahee hai ke PSLV si 47 ne kamyabi ke sath CARTOSAT-3 aur America ke 3 nanu Sitellites ko madaar mein choda. Mein ISRO ke sadar nasheen ke Sivan aur ISRO ke science danon ki team ko mubarakbaad pesh karta houn aur ISRO ke aglay mission ke liye nek tamannaoun ka izhaar karta hoon. –YTN STAFF