Saturday, May 4, 2024
HomeSliderHindustan 244 par All out, Sydney test mein Australia ka mustehkam muaqqaf

Hindustan 244 par All out, Sydney test mein Australia ka mustehkam muaqqaf

Sydney: Hindustani team apne batsmanoun ki Mayoos kin karkardagi ki wajah se Australia ke khilaaf teesray cricket test ke teesray din hafta ko pehli inning mein 244 runs par simat kar bohraan se dochar hogayi hai. Australiyai team ko pehli inning mein 94 runs ki ahem bartari haasil hui aur doosri inning mein din ke ekhtataam tak 2 wicket par 103 runs banakar apni majmoi bartari 197 pohancha kar match par apni girift mazboot karli hai.

Australiyai team ne pehli inning mein 338 runs banaye thay jabkay Hindustan ne aaj subah do wicketon par 96 rusn se agay khelna shuru kiya tha lekin poori team 244 runs per dher hogayi. Cheteshwar Pujara ne 50 runs ki jad-o-jehad bhari innings kheli lekin woh apni inning ko ziyada agay nahi le jasakay.

Guzashta match mein century bananay walay captain Ajinkya Rahane is martaba 22 runs bana kar out hue. Wicket keeper Rishabh pant ne jad-o-jehad karte hue 36 runs banaye thay lekin unke haath mein choth lagnay ke baad unki tawajah khatam Hogayi aur woh out hogaye. Wazeh rahay ke Pujara aur pant dono ne guzashta australiyai dora 2018-19 mein Sydney mein khailay gaye match mein centuria banayen thi lekin is martaba hindustani batsmanoun mein se koi bhi badi inning nahi khail sakay. Hindustan ki nou wickten 214 runs per girayi lekin all rounder ravinder Jadjea ne nat out 28 runs banaye aur Hindustan ko 244 runs tak pouncha ya. hindustani inning ko simetnay ke baad Australia ki doosri inning ki ibtida achi nahi rahi.

Mohammad Siraj ne apne dosray test mein pehli inning mein nisf century bananay walay hareef opener will pokoski ko out kiya. Unhon ne do chowkun ki madad se 16 gaindon mein 10 runs banaye. pehli inning mein koi wicket nah lainay walay of spiner Ashwin ne jald hi kamyabi haasil ki aur david warner ko LBW out kiya.

Pehli inning mein 5 runs bananay walay warner Doosri inning mein kuch nah kar sakay aur 29 gaindon mein sirf ek chokay ki madad se 13 runs bana kar out hue. Australia ke do wickten 35 runs par girgayin aur Hindustan match mein wapsi karta hua nazar araha tha lekin labuschagne aur pehli inning mein century bananay walay stevin smith crease par jam gaye aur Australia ko din tak mazeed nuqsaan nahi honay diya. dono ne teesri wicket ki nat out shiraakat daari mein 68 runs ka izafah kiya aur australiyai team ko 197 runs ki bartari tak pohancha diya.

Australia chouthay din is bartari ko mustahkam karne ki koshish karega taakay chowthi inning mein Hindustan par dabo dala jasakay. Teesray din khail ke ekhtataam par Labuschagne 69 gaindon mein 6 chowkun ki madad se 47 runs aur pehli inning mein 131 run bananay walay smith 63 gaindon par teen chowkun ki madad se 29 runs bana kar crease par mojood hain.