Monday, May 13, 2024
HomeIndiaHindustan 100 Saal Mein Doosri Martaba Khushk Saali Ka Shikaar

Hindustan 100 Saal Mein Doosri Martaba Khushk Saali Ka Shikaar

New Delhi: Rawan saal ki garmi ne sab ko pareshan aur be haal kar diya hai. June ke mahinay mein khusoosi tor par Dehli intehai garam aur khushk raha jabkay junoobi Hindustan ki reyaston Tamilnadu, karnataka, Telangana aur Andhrapradesh mein bhi June ke poray mahinay mein sirf ek do martaba hi barish hui hai jabkay mah June guzarnay ke Bawajud shumali Hindustan mein Monsoon ki koi aamad nahi hai. pooray mulk mein June ke mahinay mein barish ausat se taqreeban 35 feesad kam rahi. June ka maheena bas khatam honay ke baad umeed bhi nahi hai ke barish ki yeh kami ek do din mein poori ho payegi. umooman June ke mahinay mein 151 mili meter barish hoti hai lekin is mahinay ab tak mehez 98 mili meter hi barish hui.

1920 ke baad dekha jaye to chaar saal inthai khushk aur garam guzray hain, aur 2019 ka June is lehaaz se panchawan mauqa hai jab khushk saali phailey hui hai aur Monsoon ka awam be sabri se intezaar kar rahay hain. maazi par nazar dalain to 2009 mein sab se kam 85.7 mili meter, 2014 mein 95.4 mili meter, 1926 mein 98.7 mili meter aur 1923 mein 102 mili meter barish hui thi. 2009 aur 2014 dono hi saal aisay they jab Monsoon ke asar se kamzor hua tha. is saal bhi kuch aisi hi haalat maloom padh rahi hai.

Darasal al-nenyu ke asar ki wajah se mashriqi aur wasti behar oqiyanus ki satah mein ghair mamooli tor se garmi ki haalat dekhnay ko millti hai. is se huwaoun  ka chalna mutasir hota hai aur yeh hindustani Monsoon par be hadd manfi asar dalta hai. is saal mahireen mosmiyat ne pehlay hi al-nenyu ke der se sargaram honay aur kamzor rehne ka andesha zahir kiya tha. halaanke guzashta hafta haalat mein kuch behtari hui aur Maharshtra aur virdhaba jaisay ilaaqon mein barish hui jo ke taweel waqt se khushk saali ki maar bardasht kar rahay they. halaanke ek achi khabar sunney ko mil sakti hai. itwaar 30 June tak khaleej bangal mein kam dabao  ki haalat paeda ho rahi hai. iske sabab July ke pehlay hafta mein Odisha , wasti Hindustan aur shumal maghribi Hindustan mein achi barish ho sakti hai .

mehakma mosmiyat ke ek senior officer ke mutabiq 30 June ke baad Monsoon mein behtari ki umeed kar rahay hain. is baat ki Qawi umeed hai ke Monsoon wasti Hindustan aur gujrat ke baqi hisson ki janib badhayga. July mein kam dabao ki haalat ke sabab Monsoon behtar ho sakta hai. qabil-e-ghhor hai ke Khareef ki fasal ke liye July ka maheena sab se ahem hota hai aur usay Monsoon ka sab se ziyada barish wala maheena maana jata hai . –YTN STAFF