Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaHindu Mahasabha bhi Supreme Court ke faislay ke khilaaf nazar sani ki...

Hindu Mahasabha bhi Supreme Court ke faislay ke khilaaf nazar sani ki darkhwast dayer karengi

New Delhi: Hindu Mahasabha ne bhi Ayodhya case mein Supreme Court ke faislay ke khilaaf nazar sani ki darkhwast dair karne ka faisla kiya hai. Hindu Mahasabha ke wakeel Vishnu Jain ne ye ittila di. Jain ne kaha ke ”Aaj hum Supreme Court ke, Muslim jamaat ko Ayodhya ya kisi aur jagah par jahan board ko sahih lagey, 5 aekar araazi dainay ke faislay ke khilaaf nazar sani ki darkhwast dair karen ge.

Isi douran, Vishva Hindu Parishad (VHP) ne mutalba  kiya ke sunui waqf board ko masjid ki taamer ke liye Ayodhya ki municipality ki hudood se bahar zameen allot ki jaye. Markazi VHP ke naib sadar Champat Rai ne kaha ke Rashtriya Swayamsevak Sangh ke sar barah Mohan Bhagwat ko Ayodhya mein Ram mandir bananay ke liye qaim kiye jaaney walay trust ka chairman ban-na chahiye.

Wazeh ho ke, Supreme Court ne 9 November ko Ayodhya mein mutanazia araazi ko Ram mandir bananay ki raah hamwar kar di thi. Adalat ne sunni waqf board ko masjid ki taamer ke liye 5 aekar araazi dainay ki hidaayat ki hai.

Champa Rai ne media numaindoun ko bataya ke pehlay Ayodhya ek chhoti municipality thi, Lekin decemeber 2018 mein, Ayodhya aur Faizabad ki baldiyat ko ek corporation mein zam kar diya gaya. Taham, sunni waqf board ko purani Ayodhya municiple hudood se bahar 5 aekar aarazi allot kar ni chahiye. Muslim fareeq ki taraf se Supreme Court mein nazar sani ki darkhwast dair karne ke sawal par Champa Rai ne kaha ke ”Ih un ka qanooni haq hai. –YTN STAFF