Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaHindu dehshat gardi ek haqeeqat, Modi ke inkaar se kiya hoga?

Hindu dehshat gardi ek haqeeqat, Modi ke inkaar se kiya hoga?

New Delhi: Wazeer-e- azam Narendra  Modi ne 1st April ko ek  intikhabi jalsay se khitaab karte hue oppostion jamaat congress par yeh ilzaam aed kiya  ke aman pasand hinduo ko hindu dehshat gard qarar dete hue unki tauheen ki hai aur aman pasand qoum ko dehshat-gard ka label lagaya hai. Modi ne apni is taqreer mein khulay aam yeh kaha hai ke hindu dehshat-gardi ka koi wujood nahi hai aur hindu qoum pur-tashaddud karwaiyon mein mulawis nahi hoti hai aur khud is baat ko angraiz ne bhi kaha hai, lekin shayad Modi hindustani tareekh aur moujooda daur mein hindu qoum ki dehshat-gardi aur pur tashadud sainkado  waqeat ko bhool chuke hain aur maloom nahi kis Bartanwi shakhs ne, kab aur kahan yeh kaha tha ke hindu qoum dehshat-gard nahi hoti hai kyunkay Modi ke hamesha khayalat haqayiq ke baraks hotay hain .

Hindustan ki tareekh aur moujooda halaat gawahi dete hain ke hindu dehshat-gardon ne kayi martaba na sirf apni qoum balkay aqliati tabqo se talluq rakhnay wali deegar aqwam ko bhi tashadud ka nishana banatay hue inhen mout ki neend sulaa hi hai. 1948 mein hyderabad ke Polo Operation mein hazaron musalman maaray gaye. 1950 aur 1964 mein Kolkata aur 1969, 1985 aur 2002 mein Gujrat fasadaat, 1992 mein Bhagalpur fasadaat, 1983 mein Neelii fasadaat, 1992 mein Mumbai fasadaat, 2013 mein Muzaffar Nagar fasadaat yeh woh chand fasadaat ke naam hain jis mein musalmanoun ki badi tadaad ko mout ki neend sulaa gaya hai aur yeh sab hindu dehshat-gardon ki karwaiya hain. hindu dehshat- gardon ne nah sirf musalmanoun ko nishana banaya hai balkay Sikhsko bhi ki fasadaat mein mara gaya hai jis mein khaas kar Dehli mein un par ziyada zulm hua. 1984 mein sabiq wazeer e azam Indra Gandhi ke qatal ke baad sikhs ke khilaaf jo karwai ki gayi woh bhi to hindu dehshat-gardi ka ek  namona hai to 1999 ka woh waqea kon bhool sakta hai jab ek  autsraliyai machinery ke sarparast Dustence Graham aur unke aath sala betay Philip aur 6 sala betay Temoti ko hindu dehshat-gardon ne zindah jala diya tha. yeh waqea Orissa mein paish aaya tha aur isi riyasat mein 2008 ka woh waqea bhi sab ke zehnon mein aaj bhi taaza hai jis mein kayi esaiyoun ko hindu dehshat-gardon ne mout ki neend sulaa hi hai .

Hindustan ki tareekh mein darjanon aisay waqeat mojood hain jis mein deegar mazahab se talluq rakhnay walay afraad ke alawa Hindu Dehshat-gard bhi mulawis hain jinhon ne aqliati tabqay ko nishana banaya hai. haliya dinon mein hujumi tashadud hindu dehshat-gardi ki fehrist mein naye baab ka izafah hai jo kay gaaye ke naam par musalmanoon aur dalitoun ko nishana banaye jane ki karwaiya hain .

Hindustan jis ne pur aman tareeqay se mahatma gandhi ki qayadat mein azaadi ki jung ladi thi aur jis shakhs ne Adam tashadud ki raah ikhtiyar karte hue hindustani qoum ko bhi isi rastay par chalne ki Talqeen ki thi, azaadi ke fouri baad Adam tashadud ke is alambardar Gandhi ko jis shakhs ne qatal kiya  woh Nathu Ram Godse tha. is shakhs ke nazriaat se hain Narendra  Modi ittafaq rakhtay hain jo ke Adam tashadud ke alambardar ko tashadud ka rasta ikhtiyar karte hue mout ke ghaat utaara hai .

ek  janib jahan Gandhi jee Adam tashadud ki raah par chaltay hue Hindustan ki azaadi ki jad-o-jehad kar rahay they isi mauqa par Subhash Chandar Bose gandhi se mukhtalif raah ikhtiyar karte hue Bartanwi samrajeat ke khilaaf Japan aur Germany ki Nazi taqaton ki madad se apni pur-tashaddud jad-o-jehad jari rakhay hue they jo ke Adam tashadud ka rasta bilkul nahi tha. Gandhi jee ke mukhalif simt mein jo log tashadud ka rasta ikhtiyar karte hue azaadi haasil karna chahtay they aur jis shakhs ne gandhi jee ko sare aam mout ki neend sulaa gaya hai, isi ke nazriaat se Modi bhi ittafaq karte hain aur isi nazriye ko woh bhi mante hain .

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke duniya ke deegar mazahab ki tarha hindu mazhab bhi apne maanne walon ko kisi bhi qisam ke pur-tashaddud rastay ko ikhtiyar karne se sakhti se mana karta hai lekin is ke bawajood hindustani tareekh aisay kayi waqeat se bhari padi hai jis mein hindu qoum ki janib se par tashadud jungi, waqeat aur ladaiyan mojood hain. hindustani tareekh mein azeem badshah Ashok ka naam sir-e- fehrist badshahon mein shumaar hota hai lekin Kalinga ki ladai jo khud hinduo ki janib se hinduo ke khilaaf hi thi is mein hazaron jaanen gayi hain. hindustani tareekh mein Kalinga ki jung badi jangoo mein shumaar ki jati hai aur yeh ek  khooni jung thi. Hindustan ki haliya tareekh mein bhi Maratha badshahon ki janib se 1742 mein bangal aur 1750 mein Jaipur mein hui jungi bhi pur-tashaddud waqeat ka hi ek  hissa hain .

Tareekh gawah hai ke nah sirf hindu badshahon ne pur-tashaddud karwaiyon mein apna hissa ada kiya  balkay is mazhab se talluq rakhnay walay aam shehri bhi kayi ek  waqeat mein mulawis hain. 1947 mein jab Hindustan ko azaadi mili aur mulk ki taqseem hui is waqt bhi fasadaat hue they jis mein taqreeban bar e sagheer mein ek  million awam ko mout ke ghaat utaara gaya tha aur marnay walon mein aksariyat musalmanoon ki hi thi. taqseem hind ke waqt honay walay fasadaat ke baad se aaj tak Hindustan mein aeye din fasadaat hotay rehtay hain jis mein marnay walon ki ziyada tadaad aqliati tabqay aur khaas kar musalmanoun ki hoti hai Hinudstan ki aam hindu qoum bhi musalmanoon ke khilaaf tashadud kiya  jata raha hai .

Tashadud pasand afraad ki tarha Hindu inteha  pasand bhi kayi takhreeb kariyon mein mulawis hain. 30 January 1948 ko Gandhi ke qatal ke alawa Lalit Narayan Mishra, Rajiv Gandhi, Phoolan Devi aur VC shukla bhi hindutwa nazriaat ke maan-ne walon ki wajah se mout ke ghaat utaarey gaye hain jabkay is ke baraks Hindustan mein koi siyasi rehnuma muslim dehshat-gardon ka nishana bantay hue mout ki neend nahi soya hai .

Hindustani Wazeer e Azam Modi ka intikhabi jalsay se khitaab ke douran kehna ke hindu qoum pur-tashaddud waqeat mein mulawis nahi aur nah hi yeh hindu dehshat-gard ho satke hain darasal qoum ko gumraah karne ke mutradif hai, kyunkay is waqt kayi aisay naam mojood hain jo mukhtalif waqt mein mukhtalif maqamat par mukhtalif waqeat mein mulawis jis mein Pragya Singh Thakur   , colonel Sri Kant  aur Swami Aseemanand shaamil woh naam hain jo ke 2006 taa 2008 ke douran Malegaoun bomb dhamaka, Mecca Masjid bomb dhamaka, Samjhota Express dhamaka aur Ajmer shareef ki dargaah ke dhamakay jaisay kayi ek  waqeat mein mulawis hain aur un takhreeb kariyon mein senkdon masoom afraad maaray gaye hain .- YTN STAFF