New Delhi. Sharai Adalat ki tarz par Hindu Court tashkeel dainay ke maamle par Allahabad High Court mein samaat huwi. Iss douran riyasati hukoomat ki janib se jawab daakhil karne ke liye Court se mohlat talabb ki gayi jis par High Court ney riyasati hukoomat ko 17th September tak jawab daakhil karne ka waqt dey diya. Wazeh ho ke Akhil Bhartiya Hindu Mahasabha ke elaan ke khilaaf Kanpur Ankit Kumar Singh ney darkhwast di jis par aayindah samaat ab 17th September ko hogi. Adalat ney Hindu Mahasabha ke Secretary aur Meerut ke zila sadar samiti riyasti hukoomat aur deegar oppostion jamaaton se jawab talab kiya tha. Adalat ney is maamla mein DM Meerut aur Hindu Court mein taiynaat Judge Dr. Pooja Shikan Pande ko fareeq bananey ka hukum dete huwe dono ko notice jari kiya hai. Wazeh ho ke Kanpur ke Ankit Singh ney High Court mein darkhwast daakhil kar ke Hindu Court ki tashkeel ko Challenge karte huwe kaha ke Hindu tanzeemon ney maghribi Uttar Pradesh ke baaz azlaa mein Hindu Court bana rakhi hai. Un ka kahena hai ke adalaton par muqadamaat ka boojh hai aur logon ko bar waqat insaaf nahi mil pa raha. Isi ko dheyaan mein rakhtay huwe shariah Court ki tarz par Hindu Court ki tashkeel ki gayi hai. Adalat ney DM aur Hindu Court mein taiynaat Dr. Pooja Shikan ko iss mein fareeq banatay huwe unhen notice jari kiya hai. Sath hi maamle mein UP hukoomat se mukammal maloomat bhi talab ki gayeen.