Thursday, May 2, 2024
HomeSliderHindostan se UAE jane wale musafiron ki tadad mein izafah

Hindostan se UAE jane wale musafiron ki tadad mein izafah

Dubai: Safarti Mission ke ek ohdedar ke ilawa Travel Agents ke bamujab Mutahidda Arab Emarat ( UAE ) ko haal hi mein Hindostan se musafiron ka mustaqil bahao mil raha hai, Jis se yeh isharay mil rahay hain ke dono mumalik ke darmain safar aahista aahista mamool par aaraha hai.

Dubai mein Consul General Of India ke Press, It-tila-aat aur saqafat ke Consul Neeraj Agrawal nay kaha ke Hindostan mein Mutahidda Arab Emarat ke bashinday ab aasani se wapsi ki manzoori le rahay hain. Visit Visa rakhnay walay dosray musafir bhi baghair kisi maslay ke parwaaz kar rahay hain.

Agarwal neh Arab Media se kaha hai ke jo kuch hum neh pichlle do teen hafton mein dekha hai woh yeh hai ke Hindostan se UAE jaany walay musafiron ki mustaqil aamad horahee hai. Parwazein achay samaan aur musafiron ki behtar tadaad ke sath aa rahi hain.

Unhoun neh kaha ke chunkay Hindostan aur Mutahidda Arab Emarat ke mabain ek khusoosi rasta tashkeel diya gaya hai, Is ke baad hi 70 se 80 hazaar hindustani bashinday pehlay hi mulk wapas lout chuke hain. Darin asna durust adad o shumaar dono mumalik mein Immigration hukkaam ke paas dastyab hon ge.

Mutahidda Arab Emarat mein hindustani awam akhrajaat, Ghar wapsi ke safar ke baare mein mohtaat hain. Agarwal neh kaha ke is waqt Mutahidda Arab Emarat se Hindostan jaanay ka mutalba bohat ziyada nahi hai. Jabkay hindustani aur Mutahidda Arab Emarat ke dono carier par rozana 8 se 9 hazaar nashishte dastyab hoti hain jis ki wajah se taqreeban 3 hazaar musafir rozana Hindostan jatay hain.