Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaHindi Ko Musallat Karne Ki Phir Koshish, Junubi Riyasatoun Ki Sakht Mukhalifat

Hindi Ko Musallat Karne Ki Phir Koshish, Junubi Riyasatoun Ki Sakht Mukhalifat

New Delhi : Hindustan mein hindi zubaan ke hukoomat ke faisla ne phir ek martaba mulk ko shumal aur junoob mein taqseem kardiya hai. Schools may hindi laazmi tor par padhanay ki wifaqi hukoomat ki tajweez par ghair Hindi riyasatoun bilkhushoos Tamil nadu, Telangana, karnataka aur maghribi bangal ki taraf se sakht mukhalifat horahee hai. taqreeban tamam oppositions partiyon neez BJP ki Haleef Tamilnadu ki anaa d am ke aur pi am ke party ne bhi is tajweez ko mustard kar diya hai .

Modi  hukumat ne guzashta hafta nai qaumi taleemi policy ka musevida jari kiya tha jis ke mutabiq ghair hindi ilaaqon mein darjaa shashum se talba ke liye is riyasat ki ilaqai zabaan aur english ke alawa hindi seekhna laazmi qarar  diya gaya tha. Tamilnadu  hindi zabaan ko padhanay ki koshisho ki musalsal mukhalfat karta raha hai. 1965 mein jab hindi ko mulk ki wahid sarkari zabaan bananay ki tajweez paish ki gayi thi tab sab se ziyada pur-tashaddud muzahiray Tamilnadu mein hue they. un muzahiron mein ghair sarkari aadado shumaar ke mutabiq 500 se ziyada afraad halaak hue they .

Tamilnadu ki oppostion jamaat DMK ne hindi nafiz karne ki sakht mukhalfat ki hai. DMK Rajya sabha ke rukan trochi siwa ne hukoomat ko shadeed muzahiron ki dhamki dete hue kaha ke wifaqi hukoomat aag se khailnay ki koshish kar rahi hai. junubi filmon ke mashhoor adakar kamal hasan ne tweet karkay ke meri raye mein hindi zabaan kisi par bhi musallat nahi karna chahiye. baen baazu ki jamaat communist party of India ke qaumi secretary D Raja ne kaha Modi  hukoomat sah lasani formula ke naam par hindi ko nafiz karne ki napak koshish kar rahi hai .

Hungama taiz hota dekh Narendra Modi  hukoomat ne ek taraf jahan muamlay ko sard karne ke liye junubi hindostan se talluq rakhnay walay kabeena ke wuzra wazeer kharja s jay Shankar aur wazeer khazana Nirmila sita ramn ko maidan mein utaara. jinhon ne tweet karkay logon ko yaqeen dilanay ki koshish ki ke is masode par amal daraamad se pehlay is ka jaiza liya jayega. insani wasail ke farogh ke wazeer ramesh pokhriya ne tweet karkay kaha hukoomat ka kisi par koi zabaan thopne ka iradah nahi hai aur tamam zabanon ki taraqqi ke liye kaam kar rahay hain .

Modi  hukoomat ne nai taleemi policy ka tarmeem shuda musevida bhi jari kya jis mein hindi ko ikhtiyaari zabaan ke tour par rakha gaya hai. taham tajzia nigaron ke mutabiq asal masla is waqt peda hota hai jab talba ko apni muntakhib zabaan padhanay wala teacher dastyab nahi hota. jiski sab se wazeh aur afsos naak misaal Uttar pardesh hai jahan urdu ko yun to doosri hukoomati zabaan ka darjaa haasil hai lekin hukoomati schoolon mein urdu ka naam wo nishaan nazar nahi aata hai .

mulk mein zabaan ka masla nihayat hassas masla hai. yahan zubanain bhi siyasat mein ahem rule ada karti hain. maazi mein bhi hakoomaten hindi ko qaumi zabaan bananay ki mutadid koshishen krchki hain, lekin tamam koshishen ab taq nakaam saabit hui hain. hindi rahtra basha ( qaumi zabaan ) ki jagah Rajya bhasha ( hukoomati zabaan ) hai. hindi ke sath sath deegar baaes zubanain bhi sarkari zubanain hain . –YTN STAFF