Saturday, May 10, 2025
HomeLatest NewsHind West Indies Odi Series Mein Number 4 Phir Mauzo Behas

Hind West Indies Odi Series Mein Number 4 Phir Mauzo Behas

Guyana : Mezban team ke khilaaf T20 series mein white wash kamyabi ke baad dono teamon ke Darmiyan teen muqabloun ki ODI series ka jumeraat ko yahan aaghaz ho raha hai jis mein Hindustani Team ki batting saf bandi mein tabdeeli ka quwwat imkaan hai. world cup ke baad baen haath ke opener shekhar dahawan ki wapsi hui hai aur woh naib captain Rohit sharma ke sath inning ka aaghaz karenge jis se quwwat imkaan hai ke KL Rahul number 4 par batting karenge kyunkay duniya ke behtareen batsman virat kohli ka number 3 mustaqil maqam hai. 130 ODI muqabloun mein Hindustan ki numaindagi karne ke alawa Rohit sharma ke sath inning ka kamyaab aaghaz karne walay shekhar Dhawan ke naam 17 centuries darj hain jis mein aakhri century world cup mein zakhmi honay se qabal banai gayi hai, lehaza kal khele jaane walay muqablay mein Rohit aur Dhawn ke inning ke aaghaz ke imkanaat roshan hain.

World cup mein hindustani team ka middle order nakaam hua tha aur isi middle order ke masail ke hal ke liye ab number 4 par Rahul ko mauqa diya jasakta hai jabkay number 5 aur 6 par Kedar Jadhav aur Manish Pandey moujood hain. unke Darmiyan Rishabh pant ki moujoodgi mein misabqati daudh ko mazeed sakht bana rahi hai. bowling shoba mein Bhuvneshwar kumar jinhoun ne teeno twenty 20 muqablon mein team ki numaindagi ki hai, lehaza umeed ki jarahi hai ke inhen kuch aaram dete hue world cup ke kamyaab tareen bowler Mohammad Shami ko mauqa diya ja sakta hai.

Unke sath ubhartey fast bowler Navdeep Saini ko bhi ODI career ke aaghaz ka mauqa diya jasakta hai. 2019 ICC world cup mein khitaab ke liye pasandeeda team ke liye shirkat karne wali hindustani team ko Semi final mein Newzealand ke khilaaf shikast bardasht karni padhi jis ke baad is ke miyaar aur knock out marhalay mein kamyabi par sawalia nishaan laga hai. world cup mein mayoos kan ikhraj ke baad kohli ki team ne mezban west indies ke khilaaf teen twenty 20 muqabloun mein sad feesad futuhat haasil karte hue kisi qader etemaad bahaal kiya hai, lekin twenty 20 series mein hindustani bowlers ko ”Universal boss “ Chris Gayle ke challenge ka saamna nahi tha, lekin ab ODI series mein Gayle ki wapsi hui hai.

Hindustani team ke liye inning ke aaghaz par Rohit sharma ka shandaar form ahmiyat ka haamil hai, jinhoun ne world cup mein record 5 centuries score ki hain aur woh America mein bhi mehdood Overs ki series mein is form ko barqarar rakh paye they, neez team intizamia ko umeed hai ke woh saathi opener dhawan ke sath team ko ek martaba phir behtar shuruvaat faraham karenge. world cup mein kohli ne runs banaye lekin woh century bananay se mehroom rahay lehaza umeed ki jasakti hai ke woh west indies ke khilaaf teen muqablon mein century ko uboor karenge.

Hindustani batting shoba mein phir ek martaba tamam tar tavajja wicket keeper batsman Rishabh pant par markooz hogi kyunkay dhoni ki Adam moujoodgi mein inhen team ka pehla wicket keeper banaya gaya. ibtedayi 2 twenty 20 muqablon mein nakaam honay ke baad team intizamia ne unpar bharosa karte hue teesray muqablay mein bhi mauqa diya jiska jarehana wicket keeper ne faida uthatay hue na sirf nisf century score ki balkay apna etemaad bhi buland kiya hai. Doosri janib west indies ki team baen haath ke openers aur all rounders ko 14 rukni team ne dobarah talab kiya hai, jis se team ka tawazun mustehkam hua hai aur woh kamyabi ke liye pur azm hai. –YTN STAFF