Manchester: Riwayati hareef Hindustan aur Pakistan ka world cup mein 16th June ko honay wala match barish se mutasir honay ka khadsha hai. Manchester ke old Traford stadium mein 16th June ko Hindustan aur Pakistan ki teams aamnay samnay hongi jis ka cricket shaiqeen ko be sabri se intezaar hai. match dekhnay ke liye duniya bhar se shaiqeen ki Manchester aamad mutawaqqa hai aur kuch muqamat par ticket black mein chargena izafi qeematoun mein farokht ho raha hai. taham shaiqeen cricket ke liye buri khabar yeh hai ke is waqt Manchester mein baarisho ka silsila jari hai aur Bartanwi mehakma mousamiyat ne 16 June ko barish ki paish qiyaasi ki hai.
Bartanwi mehakma mousmiyat ke mutabiq 16th June ko manchester mein subah 10 bajey se barish ke 50% imkanaat hain. event mein Hindustan ab tak junoobi Africa aur Australia ke khilaaf do matches mein kamyabi haasil karchuka hai jabkay Pakistan ne England ko shikast day kar wahid fatah haasil ki. agar Hindustan aur Pakistan ke darmiyan match barish ki Nazar hota hai to yeh pehla match hoga jab Pakistani team ko world cup mein Hindustan ke hathon match mein shikast nahi hogi. is se qabal Pakistan aur Hindustan ki teams world cup mein 6 martaba mad-muqabil aa chuki hain aur un tamam muqablon mein fatah ne hindustani team ke naam rahi hai.
150 pound ki ticket 2500 se ziyada mein farokht
Hind-pak match se 3 din qabal hi ticketon ki maang mein izafah hogaya hai aur jin logon ke paas ticket hain woh mun mangay daam wusool kar rahay hain. Wales aur ICC ke intibah ke bawjud ticketon ki black marketing mein izafah hogaya hai. Hindustan aur Pakistani teamon ke darmiyan itwar ko manchester ke old Traford maidan mein muqaabla hoga. is match ko dekhnay ke liye dono teamon ke shaiqeen ek badi tadaad mein Manchester pohanchna shuru hogaye hain, Tickets tamam farokht hochuki hain aur black market mein 150 pounds wala ticket teen hazaar pounds tak mein farokht ho raha hai. hindustani team jummay ko manchester pohanchi hai. manchester ke hotel malkaan mun mangi qeemat wusool kar rahay hain. shehar mein mamool se ziyada ronaqe hai. –YTN STAFF