Saturday, May 18, 2024
HomeExclusiveHind-Pak jung ki mumkina tabahi, 10 crore halakatein aur 10 saal tak...

Hind-Pak jung ki mumkina tabahi, 10 crore halakatein aur 10 saal tak qehat ke khadshaat

Hyderabad : Kashmir ko khud mukhtari faraham karne walay Article 370 ke barkhwast karne aur taqriban 2 mah se wadi-e-Kashmir mein zindagi ko yarghamal bananay ke baad sirf Hindustan mein hi halaat be-chain hain balkay Hindustan aur Pakistan ke safarti taluqaat mein bhi kasheedgi urooj par pohanch chuki hai aur kuch kasar baqi reh gayi thi to usay aqwam-e-mutahidda mein Pakistani Wazeer-e-Azam Imran Khan ke alawa Hindustan ke Wazeer-e-Azam Narendra Modi ke bayanaat ne poora kardiya hai. Pakistan aur Hindustan ke darmiyan atomi jung ki baat ki jarahi hai aur awam jantay hain ke jung kisi maslay ka hal nahi kyunkay jung khud darjanoun masail ka naam hai.

Pakistan aur Hindustan ke darmiyan johri jung fouri tor par 10 crore afraad ki halakat ka baais ban sakti hai. is alamnaak khadshay ka izhaar ek naye scienci maqalay mein kiya gaya hai jis mein ek manzar-name ko model banatay hue bataya gaya ke johri jung ke nateejay mein fouri tor par 10 crore se zayed halakaton ke sath duniya bhar mein qehat saali ka saamna bhi ho sakta hai jiski wajah bombs ke phatnay ke baad uthnay walay kalay baadalon ka Sooraj ki roshni ko ek dahai tak rokay rakhna hoga. yeh tehqeeq is waqt samnay aayi hai jab dono mumulk ke darmiyan Kashmir ki sorat-e-haal ke hawalay se kasheedgi bohat ziyada badh chuki hai.

America ki Colorado university ki is tehqeeq mein bataya gaya ke is waqt dono mumulk ke paas 150, 150 johri hathyaar hain jin ki tadaad 2025 tak 200 se ziyada honay ka imkaan hai.

Muhaqiq Alan roboc ne kaha bad-qismati se yeh tehqeeq bar waqat hai kyunkay Pakistan aur Hindustan ke darmiyan Kashmir par tanaza barqarar hai aur har mah aap sarhad ke aas paas logon ke marnay ki khabrain padhte hain. hukoomat ki janib se 5

August ko maqboza Kashmir ki khudmukhtaari ko khatam kardiya gaya jis par wazeer-e-azam Imran Khan ne guzishta mah aqwam-e-mutahidda ki general assembly se khitaab karte hue bayan mein kaha ke yeh tanaza dono mumulk ke darmiyan johri jung ka baais ban sakta hai. is tehqeeq mein shaamil mahireen ne moujooda abadi aur mumkina hadaf ban’nay walay shehri marakaz ko mad-e-nazar rakh kar takhmeenah lagaya hai ke 12 crore 50 laakh afraad is soorat mein halaak ho saktay hain, agar dono mumulk ne apne jadeed tareen hathyaaron ka istemaal kiya.Yaad rahay ke doosri jung azeem mein 6 barson ke douran saarhay 7 se 8 crore afraad halaak hue they.

Is tehqeeq mein manzar-name ki bunyaad 100 kilo tan wazni hathyaaron ke istemaal par rakhi gayi thi jo ke Hiroshima mein giraye gaye atom bomb se 6 guna ziyada taaqatwar honge. is tarhan ke ek bomb ka single air burst hi 20 laakh afraad ki halakat aur 15 laakh ke zakhmi honay ka baais bansakta hai, lekin beshtar halakatain dhamakay ke baad aag ke tufaan ke nateejay mein hongi.

Tehqeeq mein bataya gaya Hindustan mein honay wali halakatoun ka tanasub Pakistan ke muqablay mein 2 se 3 guna ziyada hoga jis ki wajah yeh nahi ke Pakistan hareef Hindustan se ziyada taaqatwar hai balkay Hindustan ki abadi padosi mulk se ziyada hai aur iske pur hujum shehron ki tadaad bhi ziyada hai.

Lekin johri hamlay to tabahi ka bas aaghaz hon ge, tehqeeq mein daryaft kiya gaya ke dhamakay ke baad 16 million se 36 million tan siyah carbon ( dhuwan ) ka ikhraj balai fiza mein hoga jo chand hafton mein duniya bhar mein phail jayega. yeh dhuwan shamsi shu-aon ko jazb karne lagey ga jo hawa ko garam kardega aur dhuwan mazeed badh jayega. is ke nateejay mein zameen par pohanchanay wali Sooraj ki roshni mein 20 se 35 feesad tak kam hojayegi, jabkay satah 2 se 5 degree centigrade thandhi hojayegi aur barish ki sharah bhi 15 se 30 feesad tak kam hojayegi. yeh asraat 10 baras tak barqarar reh sakte hain jiske nateejay mein duniya bhar mein ghizai qillat ka saamna hoga. Alan roboc ke mutabiq mujhe umeed hai ke hamara kaam logon ko ehsas dilayega ke johri hathyaaron ka istemaal nahi hona chahiye, yeh hathyaar badey qatal aam ka baais ban sakte hain. –YTN STAFF