Monday, April 21, 2025
HomeSliderHind. New Zea Land One Day Series, Agarwal aur Shaw Career ka...

Hind. New Zea Land One Day Series, Agarwal aur Shaw Career ka aaghaz karen ge

Hamilton: Guzashta saal England ke khilaaf Super Over ki shikast ke baad charshumbe ko Hindustan ke khilaaf Match New Zea Land ka pehla One day hoga. World Cup final ke super over ke baad New Zealand ne mazeed 3 super over muqablay khoye hain. Hindustan ke khilaaf T20 mein sharamnaak shikast ke baad New Zealand ke liye waqar bahaal karne wahid rasta kamyabi hai. Maizban team Tom Latham khirmaqdam kere gi jo ungli ke Fracture se sahet yab ho chukay hain aur 50 over Ford Trophy mein apni Form aur fitness saabit kar chukay hain. Zakhmi Williamson ki adam mojoodgi mein Latham hi captain ki hesiyat se khaday honge aur Tom Blundell se keeping ki zimma daari wapas lenge jo One day team ka hissa nahi hain.

 James Neesham wellington firebirds ke sath super Smash win  jeetnay aur 29 runs ke aiwaz 5 wicketoun ke shandaar muzahiroun ke baad team mein wapas aeye hain. Latham, Neesham aur Colin de Grandhomme ki wapsi middle order ku taqwiyat day gi kyunkay un ki adam mojoodgi mein New Zealand ko mukhtasir tareen Format ki series Hindustan ke khilaaf jad-o-jehad karna pada tha. Hindustani team bhi One day series mein apni pehli pasand ke kuch khiladioun se mahroom hai, Jin mein white baal ke naib captain Rohit Sharma bhi shaamil hain jo is ke baad test series se bhi mahroom rahen ge. New Zealand ke bar aks Hindustan ke paas kuch aisay khiladi mojood hain jinhoun ne New Zealand mein 50 over Cricket ka tajurbah haasil karliya hai kyunkay wo hindustani ae team ke Tour ka hissa rahay hain.

Australia ke khilaaf gharelo One day Series kamyabi ke kuch hi din baad Shekhar Dhawan Aur Rohit Sharma dono zakhmi hokar team se bahar ho chukay hain jis se Mayank Agarwal aur Prithvi Shaw team ke liye Inning ka aaghaz karne ke ilawa ek dosray ke sath One day mein debut karen ge. Shaw aur Agarwal ek sath One day Debut karne wali chothi hindustani jodi hogi. Ittifaqi tor par Vengsarkar aur P Sharma ne 1976 mein New Zealand mein debut kiya tha. One day series mein Opener ke talluq se captain Virat Kohli ne tasdeeq ki hai ke K.L Rahul middle order mein hi batting karte rahen ge jabkay Mayank Agarwal aur Prithvi Shaw Inning ka aaghaz karen ge jinhoun ne a team ke liye bhi Inning ka aaghaz kiya hai. Alawa azeen ye One day series Manish Pande ke liye apne middle order career ku mustahkam karne ka ek aur mauqa hosakti hai. –YTN STAFF