Tuesday, May 13, 2025
HomeExclusiveHind ke teen mutamavvil Musalmaan

Hind ke teen mutamavvil Musalmaan

Hyderabad. Hindustan mein Musalmaanoon ki abaadi zayed az 13 feesad hai magar taraqqi ke maamla mein Musalmaanoon ki sharah kisi bhi shouba haaye hayaat mein un ki abaadi ke mutanasib nahi hai. Taaleem ho ya Sanat o Hirfat Musalmaan apne abnaye Watan se bahout peechay hain. Jahan tak mutamavvil tareen Hindustanion ki darjah bandi ka talluq hai, doulat ke aitbaar se 100 Hindustanion mein sirf teen Musalmaan hi jagah bana paye hain. Duniya bhar mein doulat ke aitbaar se darjah bandi karne walay Magazine ”Forbes” ne saal 2017 ke amirtreen afraad ki fehrist jari ki hai. 100 mutamavvil Hindustanion mein sar e fehrist Mukesh Ambani hain jabkay teen Musalmaanoon mein Azim Premji Chairman Wipro  M A Yusuff Ali Managing Director Lulu Group International aur Yousuf Hamied Non Executive Chairman Cipla shaamil hain. Un teen mutamavvil Musalmaanoon ka mukhtasir sa taaruf paish kya jata hai.

Azim Premji (Wipro):

Azim Hashim Premji Sadarnashin Wipro Limited, Reliance Group ke Mukesh Bhai Ambani ke baad Hindustan ke dosray mutamavvil tareen shehri hain. Jaria saal un ki doulat ka andaza 17.7 billion dollars kya gaya hai jabkay 2017 mein woh 19 billions dollar ke maalik they. Aalami aitbaar se duniya ke mutamavvil tareen afraad ki fehrist mein un ka number 58 waan hai. 72 sala Azim Hashim Premji ko Hukoomat e Hind ne Padam Bhushan se bhi nawaza hai. Azim Premji bahot mukhayyar waqay hue hain jinhon ne apni company ke 39 % hisas apne khandan Trust ko dey di hain. Is terha un ki aamdani ka qabil lehaaz hissa Khairati kaamon mein sarf hota hai. Azim Premji ne 24th  July 1945 ko Mumbai mein aik Nizari Ismaiyli Shia khandan mein aankhh kholi thi. Taqseem e Hind ke baad jab Jinah ne Azim Premji ke waalid Mohammad Hashim Premji ko Pakistan muntaqil hojane ki dawat di to unhon ne is mahswara ko qubool nahi kya aur Hindustan mein hi rehna pasand kya.

M A Yousuf Ali (Lulu Group):

Yousuf Ali Musalmaan Veettil Abdul Khder ‘Lulu Group International’ ke baani o Managing Director hain, Jin ka kaarobar yun to duniya bhar mein phela huwa hai magar Mashriq  e Wasta mein Lulu Hyper Market aik jana pehchana naam hai. Yousuf Ali M A, 4. 2 billions dollar ki doulat ke sath Hindustan ke 27 weyn doulat mand shehari hain. Aalami satah par un ka muqaam 388 wahn maqam hai. Yousuf Ali 15 November 1955 kerrala ke Thrissur zila ke Nattika mauza mein paida hue, jahan taleem panay ke baad woh Gujarat muntaqil hogaye aur wahan se business Management and Admnistration mein Diploma karne ke baad 1973 mein Abu Dahbi ke liye chalay gay aur apne chacha ke business mein shaamil hogaye. 2017 mein woh 5 billions dollar doulat ke maalik they. Lulu group ke sirf gulf regain mein 132 stores hain. Lulu group International ko Hindustan ke bahar Hindustanion ko sab se ziyada mulaazimaten faraham karne ka bhi aizaz haasil hai. Arab duniya mein tijarat karne walay 100 sarkardah taajireen mein woh sar e fehrist hain. Hukoomat e Hind ne inhen Padma Shri ke aizaz se bhi nawaza hai. Yeh bhi aik mukhayyar insaan hain aur Arab duniya mein Hindustanion ki Falah o behbood ke liye unhon ne karhaaye numayan anjaam diye hain. Unhon ne Gaza aur Nepal mein Dubai Cares ke sath mil kar Schools ko adopt kya hai. Unhon ne Sharjah mein Hindustanion ke liye 8.3 acres araazi par hama mazhabi shehar khmoshan multi faith funeral centre basaayaa hai.

Yousuf Hamied (Cipla):

Scientist Yousuf Khwaja Hamied maroof dwasaz company Cipla ke Non Executive Chairman hain. 2017 mein un ke khandan ki doulat ka takhmeenah 2.6 billions dollar lagaya gaya hai. Generic Medicines tayyar karne wali is Company ki binaa Yousuf Hamied ke waalid Khwaja Abdul Hamied ne 1935 mein daali thi. Un ke waalid babaye qoum Gandhi ji ke pairokaar they. Yousuf Hamied ki walida Farida Yahoodi un-nasal theen. Un ke waalid Gandhi ji ke sath they. Mumtaz maahir taleem Sir Sayyad Ahmed Khan un ke rishta daar hotay hain. Dr. Hamied ne 1960 mein Cipla Limited mein Officer -Incharge of Research and Development ki haisiyat se shumoliat ikhtiyar ki. Bartanwi Raaj ke baayis inhen apne waalid ki Company mein kaam karne ke liye hukoomat se ijazat haasil karni padti thi chunancha un ki ibtidayi thankhah teen saal ke liye 1500 rupay muqarrar hui aur mukammal aik baras kaam karne ke baad inhen apni pehli thankhah mili. Apne waalid ke intqaal ke baad unhon ne Company ko sanbhala. Kaam karne ki ijazat milnay ke baad unhon ne mehsoos kya ke har badi dawa jo woh banana chahtay they patents ke tehat theen, aisi dawaein baraamad karna taqreeban namumkin tha aur androon Mulki Market par Multinational companiyon ka qabza tha. Is liye unhon ne Hindustan ke pitnt qawaneen ko tabdeel krwane 1961 mein indian Drugs Manufacturers  Association qayim ki. Aakhir-kaar 1972 mein un ki mehnetain rang layein aur Hindustani Pharma sanat ko Mulk mein darkaar kisi bhi dawa ki tayari aur farokht karne ki qanooni azadi dey di gayi, jis ke nateeja mein Mulk mein Pharmaceutical  sanat ko khoob badhawa mila. Hukoomat e Hind ne inhen ‘Padma Bhushan’ awards se nawaza hai. Un ki Company aids ki dawa sab se kam qeemat par farokht karne wali Company hai. Unhon ne Pune mein Cancer ke mareezon ke liye Care Unit bhi qayim kya.