Thursday, May 16, 2024
HomeSliderHind China kasheedgi ka IPL par asar shuru

Hind China kasheedgi ka IPL par asar shuru

New Delhi: Indian premier league ( IPL ) ne sarhad par Hindustan aur China ke mabain jari ta-attul ke pesh-e-nazar Tournament ke sponsorship ke mukhtalif maahdon ka jaiza lenay ke liye aaindah haftay apni gornng council ka ijlaas talabb kiya hai. IPL ke badey sponsors mein cheeni milkiat wali compane Vivo title sponser bhi shaamil hai. IPL ne Vivo ke paish-e-nazar yeh qadam uthaya hai.

BCCI ne aik tweet mein IPL ke sponsership muahiday par nazarsani ka aitraaf kiya lekin kisi naam ka zikar nahi kiya. Ahem baat ye hai ke waadi Galwan mein cheeni fojion ke sath jharap mein 20 hindustani fouji shaheed hogaye they jis ke baad cheeni companiyon aur iski masnoaat ke boycott ka amal poooray mulk mein shuru hochuka hai.

Jahan BCCI ne IPL ki sponsorship par nazarsani karne ko kaha hai wahein olympic association of India ( IOA ) ne ishara diya hai ke mustaqbil qareeb mein China ki sponsorship karne wali company linng ke sath moahida khatam kiya  jasakta hai. IOA ke khazanchi Anandeshwar panday ne kaha ke hum mulk se alag nahi hain. mulk hamaray liye ahem hai. hum markaz ke har faislay ke sath khadeay hain. cheeni company linng ke sath hamara moahida 2016 mein Rio olympics se pehlay hua tha jo Tokyo olympics ke liye hai.

Muahiday ke tehat linng hindustani khiladion ko 5 se 6 crore rupay ki kat muhayya karti hai.

Unhoun ne kaha ke corona virus ki wajah se Tokyo olympics 2021 tak ke liye multawi kardiya gaya hai aur maazi qareeb mein khelon ka koi bada waqea nahi hua hai. yahi wajah hai ke hamaray paas muahiday par ghhour karne ke liye kaafi waqt hai. hum jald hi ek executive ijlaas talabb karenge jis mein China ke sath jari fouji kasheedgi ki soorat mein muahiday ko todnay ka faisla kiya  jasakta hai halaanke is silsilay mein markazi hukoomat ke rehnuma khutoot par amal kiya  jayega.

BCCI ke khazanchi Arun Dhomal nay kaha hai ke board mustaqbil mein kisi bhi muahiday par nazarsani karne ke liye tayyar hai lekin vivo ke sath mojooda moahida khatam honay ka imkaan nahi hai. Unhoun nay kaha ke jab aap jazbati baat karte hain to aap Daleel ko peechay chodh dete hain. hamein cheeni mafadaat ke liye kisi cheeni company ki himayat karna aur hindustani mafadaat ki himayat ke liye aik cheeni company se madad lenay ke darmiyan farq ko samjhna hoga.

Dhomal ne kaha ke jab hum Hindustan mein cheeni companiyon ko apni masnoaat farokht karne ki ijazat dete hain to woh hindustani sarfeen se jo bhi raqam le rahay hain is mein se kuch raqam BCCI ko brand promotion ke liye di jarahi hai jab ke board Hindustan hukumatoun ko   42 feesad tax ada kar raha hai. lehaza ye moahida China mein nahi balkay Hindustan ke mafaad mein hai. corona ki wajah se BCCI ne IPL ko ghair muayana muddat ke liye multawi kardiya hai. Is saal IPL na honay ki wajah se BCCI ko 4000 crore rupay ka nuqsaan ho sakta hai.

Hindustan aur China ke darmiyan pichle kuch dinoun se ladakh sarhad par tanaza chal raha hai jis mein 15 June ki shab dono mumulk ke fojion ke mabain ek jharap mein Hindustan ke ek colonel sameit 20 fouji shaheed hue hain. -YTNSTAFF