Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaHind-Bartania musafir parwazein 7 January tak band

Hind-Bartania musafir parwazein 7 January tak band

New Delhi: Bartania aur Hindustan ke darmiyan musafiron ki parwazein 7 January tak mo-attal rahengi aur iske baad woh sakhti se munazzam andaaz mein dobarah kaam shuru karenge. Yeh baat wazeer hawa baazi Hardip singh puri ne kahi. Hardip singh ne guzashta haftay Europe mulk aur Hindustan ke darmiyan 23 decemeber se 31 decemeber tak tamam parwaazon ko mo-attal kardiya tha kyun ke wahan par ek tagayur pazeer coronavirus ka pata chala tha. Puri ka yeh elaan markazi wizarat sehat ki janib se Hindusta-Bartania parwaazon ki muatali mein 7 January tak badhaane ki sifarish ke baad samnay aaya hai.

Puri ne Twitter par kaha Bartania jane aur anay wali parwaazon ki arzi muatali ko 7 January 2021 tak badhaane ka faisla kiya gaya hai. Unhon ne kaha is ke baad khidmaat ko dobarah shuru kya jayega jiske liye jald hi tafseelaat ka elaan kya jayega.

Is se qabal din ke douran secretary sehat Rajesh bhushan ne aviation ke secretary se ek guftagu mein kaha tha ke mushtarqa monitoring group (GMG) ki sarbarahi mein mossola tafseelaat ki bunyaad par woh Hindustan. Bartania ki parwaazon ki arzi muatali ko 7 January tak badhaane ki sifarish kar raha hai. Director general health services (DGHS) aur national task force mushtarqa tor par DG, ICMR aur mumbar (health) NITI aayog ki sarbarahi karen ge. Bhushan ne yeh bhi tajweez di hai ke 7 January 2021 ke baad, hind-Bartania ki mehdood tadaad mein parwaazon ki sakhti se regulate par ghor kiya jasakta hai aur wizarat civil aviation ki wizarat sehat se mushawarat se is tarhan ke mikanzm par amal kiya jasakta hai. markazi wizarat sehat ne kaha hai ke Hindustan mein 20 afraad ne abhi tak Bartania mein naye virus se mutasir honay ki report di hai. is fehrist mein 6 afraad shaamil hain jo mangal ke roz naye virus se mutasir payege hain misbet paye gaye hain.

Yaad rahe ke hai ke Denmark, Netherlands, Australia, italy, swedan, France, spain, Switzerland, Germany, canada, Japan, Lebanon aur singapore mein naye virus ki mojoodgi ki ittila hochuki hai. 23 March se wabai beemari ke sabab tay shuda bain ul aqwami musafir tayyaray mulk mein mo-attal hain. Taham airlines ko rawan saal may se vande Bharat mission ke tehat aur July se aer babul pack ke tehat khusoosi bain ul aqwami parwazein chalanay ki ijazat di gayi hai.