Saturday, April 20, 2024
HomeSliderHind- Australia T20 series dilchasp honay ka imkaan

Hind- Australia T20 series dilchasp honay ka imkaan

Canberra: Hindustani team teesray ODI mein shandaar kamyabi se pur josh hokar Australia ke khilaaf 3 matchon ki 20-20 series ke jummay ko honay walay pehlay muqablay mein buland hauslay ke sath utregi. Hindustan ne sydney mein pehlay do ODI 66 aur 51 runs se gawaion thay lekin Canberra  mein teesray muqablay mein 13 run ki kamyabi ke sath shandaar wapsi ki. Canberra  ke Oval maidan mein Australia ko is terhan pehli martaba shikast ka saamna karna pada. hindustani team ab T20 series mein bhi is karkardagi ko barqarar rakhna chahaygi, jiska pehla match Canberra  ke Oval maidan mein hona hai. Hindustani captain Virat kohli ne teesray ODI mein kamyabi ke baad kaha ke woh is form ko agay bhi barqarar rakhenge.

ODI series ke pehlay 2 matchon mein hindustani team ki karkardagi mayoos kin rahi aur woh mutasir karne mein nakaam rahi thi lekin teesray match mein hindustani team shandar batting aur bowling se clean sweep se bach gayi.

Hindustani team ko T20 series mein is form ko barqarar rakhna hoga aur autraliyai bolron ko qaboo mein karte hue kamyabi ke sath series ka aaghaz karna hoga. hindustani team ne washington sundar aur deepak chahar ko T20 ke liye team mein shaamil kya hai.

Shikhar dhawan, Virat kohli, Mayank Agarwal, Lokesh Rahul aur shreyas  iyer par batting shoba ke ahem naam hain aur mumkin hai ke dhawan ke hamrah Rahul inning ka aaghaz karenge aur Mayank ka aakhri eleven mein shaamil hona mushkil hojayega. is saal ke shuru mein Hindustan ne newzealand ke sath paanch matchon ki T20 series kheli thi jis mein Rahul ne shandaar karkardagi ka muzahira kiya tha aur team ko 5-0 se clean sweep karwanay mein kaleedi kirdaar ada kya tha. Rahul ne haal hi mein UAE mein IPL ke 13 win season mein bhi behtareen karkardagi ka muzahira kiya tha aur woh tournament mein sab se ziyada score bananay walay khilari thay.

Rahul se Ek baar phir aisi karkardagi ki tawaqqa rahaygi aur Dhawan aur Rahul par team ko mazboot shuruvaat dilanay ki zimmedaari hogi.

Captain kohli ne Australia ke khilaaf dosray match mein 89 aur teesray ODI mein 63 runs banaye thay. Inhen yeh form T20 mein bhi barqarar rakhna hoga. Middle order mein, shreyas Iyer ko manish panday par tarjeeh di ja sakti hai jabkay all rounder ke shobay mein Hardik pandya aur ravinder jadeja zimmedaari sambhalain ge jinhon ne teesray ODI mein shandaar karkardagi ka muzahira kiya tha. Pandya aur Jadeja dono form mein hain aur un dono se ek baar phir behtareen karkardagi ki umeed hogi.

T20 ke liye hindustani team mein shaamil Washington ko chhatay bowler ke tor par maidan mein utaara ja sakta hai. Team ki bowling ODI series mein nakaam saabit hui aur bolron ko purani ghaltion se sabaq haasil karkay apni karkardagi mein behtari laane ki zaroorat hai. Fast bowling ki zimmedaari Mohammad Shami , Jasprith bumrah par hogi. Shami team mein wahid aisay bowler rahay jinhon ne dosray bolron ke muqablay behtareen karkardagi ka muzahira kiya.

Un dono ke alawa Navdeep saini aur deepak chahar ko bhi mauqa diya jasakta hai. Spin ke shobay mein league spiner Yuzi chahal sare fehrist hain. doosri taraf Australia ODI series mein jeet ke baad T20 ki series bhi apne naam karne ki koshish karegi halaanke team ke jarehana opener David warner zakhmi honay ki wajah se series se bahar hogaye hain. unki jagah team mein short shaamil kiya gaya hai. hindostan ke bowlers ko Australia ki mazboot batting order par qaboo paana hoga, jinhon ne one day series mein kaafi pareshan kiya hai.

Autraliyai team ke liye badi ining ke zimmedaari finch, stevin smith, marques stoinis par hogi.