Saturday, May 18, 2024
HomeSliderHind. Australia Oneday series, Hukmarani ke liye dono temen koshan

Hind. Australia Oneday series, Hukmarani ke liye dono temen koshan

Mumbai: Hindustan aur Australia ke darmain 3  muqabloun ki Oneday series ka pehla muqaabla kal yahan khela jaye ga aur is muqaabla mein hindustani team ke liye KL Rahul ke muzahiroun mein istiqlal aur Shikhar Dhawan ke tajurbah mein kisi ek ka intikhab karna mushkil faisla hoga. Oneday cricket jis ki dilchaspi mein haliya dinoun mein kami mauzo behas rahi hai wo duniya ki 2 behtareen teamoun ke darmain kal shuru honay wali series se ek nai dilchaspi peda kar sakti hai kyunkay dono hi teamoun mein mutadid aisay khiladi mojood hain jo nah sirf shaiqeen ke pasandeeda khiladioun mein sare fehrist hai balkay cricket ko dilchasp muqaabla mein tabdeel karne ki salahiyat bhi rakhtay hain.

Hindustan ke liye Ruhit Sharma team ko teez raftaar shuruvaat faraham kar saktay hain to Australia ke liye David Warner kisi taaruf ke mohtaaj nahi. Captain Virat Kohli hindustani team ke keldi khiladi tasawwur kiye jatay hain to Steve Smith

bhi jab taq wicket par mojood rahen maheman team ko kamyabi ki umeed rehti hai. Bowling shoba mein jahan Hindustan ko Jasprit Bumrah, Mohammad Shami aur Navdeep Saini ki khidmaat haasil hain wahein Australia ke paas Mitchell Starc, Patrick Cummins aur Kane Richardson mojood hain jo apni khatarnaak bowling se batsmanoun ko pareshan kar saktay hain.

Alex Carey  wicket keeping ke ilawa teez raftaar batting ke liye mashhoor hain jo Hindustan ke wicket keeper batsman Rishabh Pant  ko sakht muqaabla day satke hain. Dhawan aur Rahul ke darmain Inning ke aaghaz ke liye phir ek martaba sabqat rahay gi. Rahul ke muzahiroun mein istiqlal hai to doosri janib Dhawan ka tajurbah team ke liye faida mand ho sakta hai. Dhawan, Rahul aur Ruhit ke darmain openers ka intikhab ke ilawa Rishabh Pant  ki team mein shamoliat bhi ahem faisla hogi.

Ruhit , Rahul aur Dhawan tenu ki shamoliat ka a makaan

Australia ke khilaaf kal yahan khailay janay walay series ke pehlay muqaabla ke zimn mein hindustani captain Virat Kohli ne kaha hai ke Shikhar Dhawan aur KL Rahul dono hi openers qatee 11 khiladioun mein shaamil kiye jasakte hain kyunkay kohli ne wazeh kardiya hai ke  wo number 3 ke bajaye number 4 par bhi batting kar saktay hain.

Mehdood Overs ki team ke naib captain Ruhit Sharma ki wapsi ke baad wo azkhud Inning ke aaghaz ke liye pehli pasand hain aur umeed ki jarahi hai keh dhawan ya Rahul ke darmain kisi ek ka ba-hasiat opener intikhab kiya ja sakta hai. Muqaabla ke aaghaz se qabal ye pesh qiyaasi ki jarahi thi ke Dhawan aur Rahul ne Inning ke aaghaz ke liye kisi ek ka intikhab ho sakta hai lekin kohli ne kaha hai keh Ruhit, Rahul, Shikhar tenu bhi muqaabla mein khail satke hain aur mein number 3 ke bajaye number 4 par bhi batting karsaktha hon.

Virat kohli se jab ye sawal kiya gaya ke kiya wo chouthay number par batting ke liye tayyar hain to unhoun ne kaha ke wo aisa karne ke liye khush hon ge. Kohli ne kaha ke wo kisi bhi maqam par khailnay ke liye tayyar hain aur lower order mein batting ke mutaliq wo ghir mehfoz jazbaat nahi rakhtay.

Australia mein day night test ke liye tayyar
hindustani cricket team ke captain Virat kohli ne Australia ke test captain team Finch ke bayan par apna rad-e-amal zahir karte hue kaha ke rawan baras jab hindustani team Australia ka dora kere gi to maheman team Australia mein kisi bhi maqam par day Night test khailnay ke liye tayyar hain. Virat kohli ne is zimn mein ezhare khayal karte hue kaha ke hum ye challenge qubool karne ke liye tayyar hain chahay day Night test Cuba, Part ya kisi aur maqam par munaqqid kiya jaye. Yaad rahay Hindustan ne apna pehla day night test Bangladesh ke khilaaf guzashta baras Eden garden mein khela tha. Australia ke dora par umeed ki jarahi hai keh dono teamoun ke darmain day Night test khela jaye ga jis mein Hindustan ke liye sakht challenge rahay ga. –YTN STAFF