Monday, April 21, 2025
HomeSliderHind. Africa One Day Series, Pandiya aur Bhuvneshwar par tawajah

Hind. Africa One Day Series, Pandiya aur Bhuvneshwar par tawajah

Dharamsala: Hindustani Cricket Team mayoos kun dora New Zealand ko pas pusht daaltay huve kal yahan janoobi Africa ke khilaaf 3 muqabloun ki One Day Series ka kamyaab aaghaz ke liye pur azm hai, Taham tamam tar tavajja Team mein wapsi kar rahay All Rounder Hardik Pandya par markooz hogi. Ek janib jahan saari duniya mein Coronavirus ki wajah se Sports ke ahem multawi ya mansookh ho rahay hain to doosri janib Hindustani Cricket Team ke Captain Virat Kohli New Zealand ke mayoos kun dora ke baad ab gharelo Series mein janoobi Africa ke khilaaf ek nai shuruvaat ke liye pur azm hain aur wo Team mein wapsi karne walay All Rounder Hardik Pandya ke muzahiroun ka jaiza lainay ke liye tayyar hain. Pandya ne apna aakhri muqaabla World Cup mein New Zealand ke khilaaf Semi Final ki shakal mein khela tha.

Alawa azeen Pandya ne apna aakhri T20 muqaabla guzashta baras September mein janoobi Africa ke khilaaf Bangaluro mein khela tha. Pandya ne D. Y. Patil Corporate Cup mein apni shandaar fitness aur khail ka muzahira kiya hai. Captain Virat Kohli aur Coach rawi shastri ne pehlay hi ye wazeh kardiya ke chunkay rawan baras Twenty. 20 World Cup khela jana hai lehaza One Day un ke liye pehli tarjeeh nahe hain taham is ke bawajood Hindustani Team janoobi Africa ke khilaaf gharelo Series gunwana nahi hai chahti jis ne Australia ki maizbani karte huve 3 One Day muqabloun ki Series mein se 3-0 se shikast di hai.

Janoobi Africa Team jis ne apni gharelo series mein Australia ka mukammal safaya kiya hai uss se maheman Team ke hauslay ab buland hain aur wo Hindustani sarzamen par behtar muzahirey ke liye pur azam hain. Doosri janib Hindustani Team jisay New Zealand ke dora par One Day aur Test Series mein mukammal safaya ka saamna raha wo gharelo madanoun par behtar muzahira ke liye pur azam hain. Virat Kohli jinhoun ne New Zealand ke khilaaf sirf 75 Runs se Score kar paye hain wo gharelo madanoun par behtar muzahira karte huve apna form haasil karne ke khwahan honge.

Hindustan ke liye All Rounder Pandya ke alawa Opener Shekhar Dhawan aur tajurbahkar Bowler Bhuvneshwar Kumar ki wapsi se halaat asaan hon ge. Mazkoorah tenu khiladi azkhud hindustani 11 khiladioun ki Team mein shaamil hojaien ge jab ke number 6 ke liye Kedar Jadhav aur Manish Pandey ke darmain musabqat rahay gi. Rohit Sharma jo ke hunooz mukammal fit nahi hue hain unn ki adam mojoodgi mein Dhawan ki wapsi ahmiyat ke haamil hongi. Kandhe ke zakham ki wajah se Dhawan New Zealand ka dorah nahi kar paye they jab ke Bhuvneshwar Kumar ki wapsi se hindustani team ko aakhri Overs mein behtar bowling ke liye halaat behtar hojaien ge.

Fast Bowler Mohammad Shami ko aaraam diya gaya hai kyunkay wo New Zealand ke khilaaf dosray Test ke douran kaandha mein takleef ki shikayat ki thi. Doosri janib Australia ke khilaaf Faf du Plessis ko aaraam diya gaya tha taham ab Hindustani dora par Africa Team ka hissa hai. Alawa azeen Heinrich Klaasen aur Kyle Verreynne jinhoun ne Australia ke khilaaf Team ki fatehat mein kaleedi rule ada kiya hai wo Hindustan ke khilaaf Series mein bhi maheman Team ke liye ahem khiladi honge. Dono Teams ke darmain pehlay muqablay ka aaghaz dopehar 1:30 bajey hoga. –YTN STAFF