Sunday, September 15, 2024
HomeOthersPublic InterestHeeron se bana duniya ka mehanga tareen Face Mask

Heeron se bana duniya ka mehanga tareen Face Mask

New York: Duniya ke beshtar hisson mein coronavirus ki rokk thaam ke liye Face Mask ka istemaal laazmi qarar diya ja chuka hai. Waisay to mahireen nay kaha hai ke ghar mein bana kapday ka Face Mask bi coronavirus ki rokk thaam mein mo-asar saabit ho sakta hai lekin kuch afraad ko kam qeemat mask ziyada pasand nahi hotay.

Khaas tor par Art ke ek dildar fard nay duniya ka mehanga tareen Face Mask khaas tor par tayyar karwaya hai. Is waqt jab duniya ki beshtar abadi Covid-19 ke nateejay mein berozgari ka shikaar hai lekin is fard nay apne tahaffuz ke liye 15 lakh dollars Face Mask par kharch keye hai.

Ye Face Mask 18 qeraat sonay se tayyar huwa hai jabkay is ki sajawat ke liye 3600 siyah aur safaid heere istemaal hue hain. Yvel Jewellery Brand ne usay tayyar kiya hai aur is se talluq rakhnay walay Isaac Levy ne kaha hai ke mask mein N99 filters kiya gaya hai taakay sarif ko coronavirus ke khilaaf behtareen tahaffuz mil sakay.

Unhoun ne sarif ka naam bitanay se guraiz karte hue kaha ke wo America mein muqeem ek cheeni Art collector hai. Unhoun ne kaha wo ek nojawan hai aur hamara purana sarif hai jo bohat dolatmand hai aur doosron se numaya nazar aana pasand karta hai. Unhoun ne mazeed kaha hai ke mera khayaal ke wo is mask ko pehan kar super market jaye ga lekin ye yaqeen zaroor hai ke usay yahan wahan zaroor istemaal kere ga. Ye Jewelr is mask ke mukammal honay par bazat khud is sarif ko October mein pohanchanay ka iradah rakhtay hain.

Is mask ki tari ke liye 25 mahireen ki ek team kaam kar rahi hai taham Isaac nay kaha hai ke mutadid afraad ke liye ye duniya ka mehanga tareen Face Mask aur koi khaas ho sakta hai, Lekin ye hamaray karkhanay mein kaam karne walay afraad ke rozgaar ko bachanay wala hai.