Monday, April 21, 2025
HomeSliderHazza al mansouri ki khala se Mecca Muazzama ki tasweer, maqboliat ki...

Hazza al mansouri ki khala se Mecca Muazzama ki tasweer, maqboliat ki bulandiyon par

Dubai : UAE ke khalabaz Hazza al mansouri ki janib se khala se zameen ki tasaveer khaas kar muqaddas maqam Mecca ki tasaveer ko social media par lamha bhar mein maqboliat ki bulandiyan mil rahi hain.

UAE ke khalabaz Hazza al mansouri nay apne twitter par khala se Mecca Muazzama ki li gayi ek tasweer post ki hai jo unke zareya khala se rawana kardah doosri tasweer hai.

Is tasweer ke sath Hazza al mansouri nay imaan Afroz tabsarah karte hue likha hai ke yeh woh Mecca Muazzama hai jis ki taraf ahal-e-imaan ke dil khinche chalay atay hain, jiske deedar ke liye musalman har waqt dua karte hain aur jahan pohanch kar apne dilon ki muradain aur apne parwar digaar se dua mangte hain.

Saudi arab ke liye bharpoor mohabbat aur aqeedat ke sath Mecca Muazzama ki tasweer pesh ki jati hai.

Qabal azeen 29 September ko khalabaz Hazza al mansouri nay bain ul aqwami khalayi station se khenchi gayi zameen ki ek tasweer arsaal ki aur khala may janey ke baad yeh unki pehli tasweer thi. Is tasweer ke sath Hazza al mansouri ki taraf se ek paegham bhi jari kiya gaya jis mein unhon nay fakharya andaaz mein kaha ke aakhir-kaar mein nay apne khawab ko aasman ki doosri taraf se poora kardia. Hazaa ki nigehain khala se zameen par hain. mein nay khalayi station se zameen ki pehli tasweer li hai jisay zameen par bheja ja raha hai.

Hazza al mansouri nay pehlay amarati khalabaz ki haesiyat se 61-62 khalayi mission ke deegar arkaan ke sath bain ul aqwami khalayi station se khalayi safar ka aaghaz kiya. unka yeh safar Kazakhstan mein center international space station se shuru hua. yeh mission 187 din jari rahayga jis mein unke hamrah Amrici khalayi idaray Nasa ke khlabaz jesica Meer aur roosi khalayi idaray ke khalbaz shaamil hain.

Is safar ke foran baad UAE ke naib sadar,Wazeer-e-Azam aur wazeer-e-difaa aur Dubai ke hukmaran Mohammad bin rashid nay tweet kiya ke Hazza al mansouri ki khala may rawaangi tamam arab nojawanon ke liye ek paegham hai ke hum agay badh sakte hain aur dosaron ke sath mil kar sitaron per commands daal sakte hain. hamara agla missin Mareekh hai jis mein umeed hai ke hamaray noujawanon ki gayi tahaqeeq mareekh taq ke safar mein madad gaar saabit hogi. –YTN STAFF