Monday, April 29, 2024
HomeIndiaHawai jahaaz mein 2 musafiroun ke darmiyan Seat khaali rakhnay ki hidayat

Hawai jahaaz mein 2 musafiroun ke darmiyan Seat khaali rakhnay ki hidayat

New Delhi: Shehri hawabazi ke Directorate General ( DGCA) ne tayyaray mein sawaar 2 musafiroun ke darmain ek seat khaali rakhnay aur Boarding ke waqt musafiroun ko Sanitizer ki sahoolat muhayya karwane ki hidaayat di hai.

DGCA ne aaj Airline Companiyon aur Airport Tech Operator ku Coronavirus ke phelao ku roknay ke liye nai hidayat jari ki hain, Jis mein samaji doori aur deegar iqdamaat ko yakeeni bananay ki baat kahi gayi hai. Fazai khidmaat faraham karne wali companiyoun ko hidaayat di gayi hai ke Check un ke waqt is terhan Seats mukhtas ki jayen ke 2 musafiroun ke darmain ek seat khaali ho. Neez amlah se bhi kaha gaya hai ke wo musafiroun ko khanay peenay ki farahmi ke douran kaafi faasla rakhen.

Airport par check un ki qataar mein, Musafiroun se kaha gaya hai ke wo kam se kam ek Meter ke faaslay par khadhe hon aur Boarding ke waqt bhi musafiroun ke mabain munasib faasla yakeeni banaya. Flight ke muntazir, Musafiroun ko ab Airport par ek seat darmain mein khaali chod kar bataya jayega.

Airline companiyoun ko Boarding ke waqt musafiroun aur mulazmeen ko Hand Sanitizers faraham karna hoga. Airport par bhi Sanitizer ko jagah jagah par rakhnay ki hidaayat di gayi hain. Airport Operators se kaha gaya hai ke wo un Counters par hujhoom ko kum karne ke liye kaafi tadaad mein Check un aur Security Check Counter banayen.

Modi ne ki Air India ki tareef
Wazeer e Azam Narendra Modi ne Coronavirus ke baais beroun mulk mein phansay Hinduostanyoun ko watan wapas laane mein Air India ki koshisho ki tareef ki hai. Modi ne Twit kiya aur kaha Air India ki Team par fakhar hai jis ne sabar se insaaniyat ka muzahira kiya. Mulk bhar mein un ki ghair mamooli koshishoun ki tareef horahee hai.

Shehri huva baazi ke wazeer Hardeep Singh Puri ne bhi Air India ki tareef ki hai. Unhoun ne Twit kiya Air India ke Boeing 777 ke amlay ne Captain Swati Rawal aur Raja Chuhan ki sarbarahi mein faraiz sar-anjaam dete huve 263 Hindustanyoun ko watan wapas pouncha. Qabil zikar hai ke Modi aur Puri ki Twits aisay waqt mein samnay aeye hain jab loog Corona ke Infection ki wajah se Air India ke amlay ko apni Society aur gharoun mein anay se rokk rahay hain. –YTN STAFF