Sunday, May 11, 2025
HomeSliderHathyaar farokht karne mein America aur khareedne mein Saudi number one

Hathyaar farokht karne mein America aur khareedne mein Saudi number one

Riyadh : Duniya mein hathyaar khareedne walay mumalik ki fehrist mein Saudi arab pehlay aur Australia dusray muqam par hai. Swedish idaray stockholme International research institute ke mutabiq duniya mein sab se ziyada hathyaar Saudi arab khareed raha hai.

Australia haeran kan tor par dosray number par hai jabkay China aur Hindustan bhi is daudh mein agay hain .
swedan ke bain al aqwami thnk tank sipri ki taaza report ke mutabiq a? سڑیلیا 2017 mein chouthay maqam par tha jabkay 2018 ءمیں yeh duniya ka hathyaar khareedne wala dosra bara malik ban gaya hai. ABC news channel ki report ke mutabiq Australia nay 50 arab Australian dollar maliyat ke jungi jahaaz kharidi hain.
Australia hukoomat ke mutabiq inhen ilaqai khatray ke baais hathyaaron ki daraamdat mein izafah karna padha hai. is fehrist mein Saudi arab ab bhi pehlay number par hai. Saudi arab khittay mein apni bartari qaim karna chahta hai aur is nay isi wajah se haliya chand barson se hathyaaron ki kharidari mein izafah kar rakha hai. Saudi arab hamsaaya mulk Yemen mein bhi fouji karwaiya jari rakhay hue hai aur usay yemeni Houthi baghion ke musalsal hamlon ka saamna hai.
Report ke mutabiq 2017 mein China hathyaar khareedne walay mumalik ki fehrist mein chhatay number par tha lekin 2018 mein yeh teesray maqam par aagaya hai.

China aur Pakistan ka hamsaaya mulk Hindustan dosray number se chouthay number par aagaya hai. jo mumalik hathyaar farokht kar rahay hain, un mein sare fehrist America hai jabkay dosray number par Russia hai. un ke baad France aur Germany do aisay Europi mumalik hain, jo hathyaaron ki baraamdaat jari rakhay hue hain. yeh dono mumalik bal tarteeb teesray aur chouthay number par fayaz hain. panchwein number par is martaba Spain aaya hai. 2017 mein hathyaar bar-aamad karne walay mumalik ki fehrist mein yeh navein number par tha. –YTN STAFF