Monday, May 6, 2024
HomeIndiaHathras saneha ek qaumi sharam ki baat hai, Yogi ko istifa dena...

Hathras saneha ek qaumi sharam ki baat hai, Yogi ko istifa dena chahiye.

Delhi: Qaumi sadar Mohtarma Mehrunnisa Khan ne apne jari kardah akhbaari bayan mein kaha hai ke yeh qaumi sharam ki baat hai ke Hathras ke khofnaak saneha ke baad Uttar Pradesh hukoomat koi thos qadam uthany mein nakaam hai jis mein ek no omar Dalit ladki ke sath ijtimai esmatdarri ki gayi thi aur usay be dardi se mara gaya tha jis ki wajah se is ki mout hogayi. Is waqeye se BJP reyasti hukoomat aur wazeer aala Yogi Adityanath ki shabeeh par ek aur daagh laga hai. kiya reyasti hukoomat itni be bas hai ya woh bemaar hai? Women India Movement ki qaumi sadar Meherunnisa Khan ne mutalba kiya hai ke is Hathras saneha ki zimma daari qubool karte hue wazeer aala Yogi Adityanath ko apnay ohday se istifa dena chahiye.

Moherunnisa Khan ne is hathras waqeye ki sakhti se muzammat karte hue kaha hai ke Uttar Pradesh mein esmatraizi aur chaid chhad ke waqeat ko dekh kar yeh pata chalta hai ke Uttar Pradesh mein sakht law and Order nafiz kiye jane ke daawa khokhle hain. Dekha gaya hai ke agar aam loog, Khaas tor par kamzor tabqaat aur khawateen ghair mehfooz aur khatrah mehsoos karte hain to aisay mein police apni bunyadi zimma daari mein nakaam hojati hai. Yeh afsoos naak waqea Hathras saneha samaaj mein paye jane walay gehray adam masawaat aur na-ensafyon ki yaad dilaata hai. Mobayyana tor par kaha ja raha hai ke mujrim Thakur khandan se talluq rakhnay walay hain, Jis zaat se wazeer aala talluq rakhtay hain. Aaye din ho rahay un mazalim ke pas manzar se pata chalta hai ke Uttar Pradesh mein zaat paat ki hukmarani ghalib rehti hai jis terhan Samajwadi Party ke daur hukoomat mein yado ghalib rahay thay. Women India Movement ki qaumi sadar mohtarma Mehrunnisa Khan ne kaha ke mulk bhar mein aam aadmi ka police force se aetmaad uth gaya hai. Lekin Hindi ilaqon mein awam ko police Force par siray se aetmaad hi nahi hai. Zaat paat aur jageer daarana darja bandi ab bhi law and order entezamia aur yahan tak muqami hukoomaton par haawi hai.

Police aur Civil service mein khaas tor par abadi mein baday hissay ke tanasub ke lehaaz se kamzor zaat ke numaindon ki numaindagi kam rehti hai. Mehrunnisa Khan ne kaha ke jab se Uttar Pradesh mein BJP ki hukoomat bani hai tab se esmat darri ke waqeat taizi se badh rahay hain. Jab hukoomat bedaar hogi tabhi is terhan ke juraim ka khtama hoga. Is terhan ke bhayanak waqeat ki rokk thaam ke liye hukoomat kab koi thos qanoon paas kere gi?. Modi sarkar ka mustaqil naara’ Beti Bachao Beti Padhao’ Mehez’ jumla’ saabit ho raha hai. Mulk mein khawateen ke tahaffuz par sawalia nishaan laga huva hai aur un ki izzat par haath daalnay walay gunde azad ghoom rahay hain. Agar zaat paat ke naam par siyasat shuru hoti hai to yeh badi pareshani ki baat hai ke mulk mehfooz hathon mein nahi hai. Women India Movement ( WIM ) ne hamesha khawateen ke khilaaf juraim ki shadeed muzammat ki hai aur sath hi Uttar Pradesh mein masoom ladkiyon ke sath honay walay na qabil maffi juraim ke liye bhi aawaz uthaati aa rahi hai.

Is ne mutadid baar markazi hukoomat par zor diya hai ke woh aisay juraim ki rokk thaam ke liye thos iqdamaat kere aur mujrimon ko sakht saza di jaye taakay aisay juraim par qaboo paaya jasakay. Women India Movement ne apne mutadid yad dasht ke zareya markazi hukoomat ko un halaat se intibah kiya hai lekin hukoomat ne koi thos iqdaam nahi uthaya. Lehaza, Women India Movement sadar jamhooria se Appeal karti hai ke wo Uttar Pradesh mein badhatay hue juraim ki sharah ko roknay ke liye munasib iqdamaat karen aur markazi hukoomat ko bhi aisay juraim ke khilaaf qawaneen bananay ki hidayat ki jaye taakay mulk ki khawateen raahat ki saans le saken aur aman ke sath reh saken, Kyunkay khawateen ke tahaffuz ke baghair mulk ki taraqqi mumkin nahi hai.