New Delhi: Hathras esmat raizi aur qatal ke mutasirah khauf zada khandan ke tahaffuz ko yakeeni bananay ka mutalba karte hue Jamia Millia Islamia aur Delhi University ke asatezaa aur sahafion par mushtamil ek team ne Hathras ka dora karne ke baad kaha hai ke mutasirah khandan khauf mein hai aur fori maali aur mustaqil tahaffuz faraham karne ki zaroorat hai.
Professor Hem Lata Mahishwari, Dr Rajit Rani, Dr Bajrang Bahari Tiwari, Dr. Sema Mathur, Dr Punam Tushad, Forward Press ke hindi editor Kishwar Kumar aur sahafi Manoj Papal par mushtamil team ne mehsoos kiya hai ke Hathras mutasirah khandan be had khauf zada hai aur kaam kaaj band honay ki wajah se maali pareshaniyon ka saamna hai. Mutasirah ki maa ke naam par Account hai jo is waqt band hai jis ki wajah se woh paisay nahi nikaal par hai hain. Team ne kaha hai ke matofia ke ghar mein tainaat ek police ohdedar ne bataya ke kuch din pehlay mulzimin ke logon ne is par hamla karne ki koshish ki thi. Lehaza un ki security mein izafah kiya gaya hai. Agar police ohdedar ki baat durust hai to phir matofia ki Bhabi aur waalid ka khauf bilkul maqool hai kyunkay jab aisi police force ki mojoodgi mein mulzimin ke loog hamla kar ke inhen dhamkian day satke hain, Phir agar police mojood nahi hi nah rahay to woh kiya kiya nahi kar saktay hain.
Isi ke sath team ne hukoomat se mutalba kiya ke hukoomat mutasirah fareeq ke jaan-o-maal ke tahaffuz ko yakeeni banaye. Is ke liye gaon mein police chowky qaim ki jaye. Hukoomat mutasirah fareeq ko fori maali madad faraham kere. Inhen muashi bohraan darpaish hai.
Hukoomat ko chahiye ke gaon mein Maqtolah ke naam par health center aur high school qaim kere. Unhoun ne kaha kay maqtolah ki walida ke bamujab 14 September ko police ne thaana mein bura sulooq kiya hai. Report darj karne mein bhi takheer hui aur dawakhana bhejnay mein bhi jaldi nahi ki gayi. Isi douran maqtolah ke bhai ne kaha ke is ka dawakhana mein ilaaj nahi ho raha hai.