Friday, May 10, 2024
HomeIndiaHaryana ki khatoon ne apne 3 Chachaoun par bachpan mein zayad-ti karne...

Haryana ki khatoon ne apne 3 Chachaoun par bachpan mein zayad-ti karne ka lagaya ilzaam

Chandigarh: Haryana ke zila Hisar mein ek gayon ki khatoon ne apne 3 Chachaoun par elzam lagaya hai ke wo bachpan mein hi is ke walidain ki razamandi mein un tenu ki jinsi zayad-ti ka nishana bani thi. Is ne police ko bataya ke ab is shikayat darj karvane ki jurrat ki hai, Kyunkay usay pata chala ke is ki choti behan ke sath bhi yahi jurm ho raha hai.

Is ki shikayat par amal karte hue,  Agroha police ne 19 decemeber ko is ke walidain aur mulzim Chacha ke khilaaf tazirat hind ki mukhtalif daf-aat aur Posco Act ki dafaa 8 ke tehat muqadma darj kiya. Mutasirah ne bataya ke wo 14-15 saal ki thi ke is se kayi baar jinsi zayad-ti ki gayi. Is ki shadi 2017 mein hui.

Tafteeshi Afsar Kamla Devi ne bataya ke, Is ne shikayat kanandah aur is ki behan dono ka tibbi muaina kar vaya. Unhoun ne kaha ”ham ne mulzim aur shikayat kanandah ko pooch taach ke liye bulaya hai“. Haryana ki is khatoon ka kehna hai ke chacha ne bachpan se hi is ke sath jinsi zayad-ti ki. –YTN STAFF