Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaHaryana ki 2 behnoun ko Passport jari karne se kiya gaya inkaar...

Haryana ki 2 behnoun ko Passport jari karne se kiya gaya inkaar ”Kaha Nepali nazar aati hain ye ladkiyan

Haryana: Ambala ki rehne wali 2 saggi behnoun ke sath ek ajeeb o ghareeb waqeya pesh aaya. Hindustan mein peda huven, Hindustan mein badi huven aur padhi likhi, Magar jab wo Ambala se passport bananay ke liye Chandigarh gayeen to wahan ke ohdedaroun ne dastawizaat ko dekhe baghair hi un duno ka chehra dekh kar hi ye tay kiya ke un ka passport nahi banaya ja sakta aur unke dastawizaat par aisa tabsarah kiya ke jisay sun kar khud Ambala ke deputy commissionere bhi heran reh gaye. Batadin, Ke ladki Santosh ke paas Aadhaar Card, PAN card aur Kurukshetra University ki degree bhi hai, Lekin passport office mein is ke dastawizaat dekhe baghair, Inhen Nepali qarar diya gaya.

Santosh Ambala mein hi peda hui aur Kurukshetra University se padhai mukammal ki. Santosh apne waalid ke dukaan mein kaam karti hai. Lekin kuch arsay qabal behan Shushma ne beroun mulk jaakar taleem haasil karne ka khawab dekha tha, Jis ke baad Shushma ne passport office ko apne dastawizaat day kar passport banwane ki karwai ka aaghaz kiya. Inhen passport office bulaya gaya, Jahan un ka chehra dekhnay ke baad ohdedaroun ne inhen passport jari karne se inkaar kar diya gaya aur un ke passport se mutaliq dastawizaat par ye tabsarah kiya gaya ke ”Darkhawast dahinda Nepali nazar aata hai “Aur passport tayyar karne se inkaar kar diya.

Santosh ne kaha ”ham ne Haryana ke wazeer Anil Vij  se baat ki, Jis ke baad hamara passport bananay ka amal shuru huva. Ambala ke deputy commissioner Ashok Sharma ne kaha ke passport office Authority un ke dastawizaat par ”Darkhawast dahinda Nepali nazar aata hai “Likha hai. deputy commissioner Ashok Sharma ne kaha ”Ye khabar mlitay hi mein ne mudakhilat ki, Jis ke baad duno behnoun ko passport office ne bulaya. Ab un ka passport jald un tak poanch jayega. –YTN STAFF