Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsHarmain Sharifin mein Khayam-ul-Layel ka ahtemam

Harmain Sharifin mein Khayam-ul-Layel ka ahtemam

Riyadh: Madina Munawwara ki Masjid Nabawi ﷺ aur Haram muki mein mah mubarak ke aakhri ashray mein Khayam-ul-Layel ( Shabinah ) ki namaz khusho o khuzo ke sath ada ki jarahi hain. Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq khadim Harmin Sharifin Shah Salman Bin Abdalaziz ne Masjid Al Haram aur Masjid Nabwi mein namaz tahajjud aur Taraveeh ki adaigi ki manzoori day rakhi hai.

Mecca Mukarama aur Madina ﷺ mein waqay ye dono Masajid muslim duniya ki muqaddas tareen masajid hain. Duniya bhar ke musalman un mein namaz ada karne ki arzoo karte rehtay hain. Dono masajid mein amsal pehli baar taraveeh ki das rak-at par Taraveeh mein takhfeef coronavirus ki waba ko mad e nazar rakhtay huve ki gayi hai.

 Dono masajid mein Quran pak tahjjud ki namaz mein mukammal kiya ja raha hai. Masjid Nabawi aur Masjid Al Haram mein Taraveeh aur tahjjud ki namazoun mein muqaddas masajid ke ohdedar, Security force ke jawan aur intizamaa par mamoor afraad hissa le rahay hain. Corona ko phelnay se roknay aur is se bachney ki khatir ab bhi aam namazioun ko dono muqaddas masajid mein namaz ke liye jane ki ijazat nahi hai.

Yaad rahay coronavirus ki wajah se mumlikat mein curfew nafiz hai din mein curfew mein waqfa subah 9 se shaam 5 bajey tak hota hai is ke baad logoun ke gharoun se nikalne par pabandi ayed hai. Wo afraad jinhein curfew Pass jari kiya gaya hai wo bhi sirf apni zimma daryoun ki adaigi ke liye hi gharoun se baher nikal satke hain.

Curfew Pass par darj maloomat aur auqaat ki pabandi karna laazmi hai ilawa azeen aisay afraad jinhein curfew Pass jari kiya huwa hai agar wo muqarara auqaat ke ilawa jo curfew Pass mein darj hain gharoun se baher niklenge to un par bhi khilaaf warzi darj ki jati hai. –YTN STAFF