Friday, April 19, 2024
HomeOthersBusinessHarley davidson ne Hindustan mein apni farokht aur tayari band kardi

Harley davidson ne Hindustan mein apni farokht aur tayari band kardi

Hyderabad:  Amrici bike bananay wali company Harley davidson ne kaha ke wo Mulk mein apni premium bike farokht karne ke ek dahe baad Hindustan mein farokht aur manufacturing ka kaam band kar raha hai.

Sanat ke zaraye ne kaha ke company Hindustan mein apna kaarobar chalanay ke liye ek partners ke sath moahida karna chaah rahi hai. Harley davidson ne ek SEC filing mein kaha Hindustan ki karwai mein taqreeban 70 mulazmeen ki wabasta afradi qowat mein kami shaamil hogi.

Harley davidson ne afradi qowat mein kami aur kuch muahidon ke khatmay jaisay tanzeem-nou ki sar garmion ka aaghaz kiya jis ke nateejay mein aalmi satah par lag bhag 700 ohdoun ka khatama hoga, jis mein taqreeban 500 Mulazmineen ki Bartarfi bhi shamil hai. Mulwaki based company ka matlab mulazmeen aur deegar khidmaat se mutaliqa iqdamaat ko di reviers se tabeer karna hai. ek alehda bayan mein Harley davidson ne kaha ke woh bawal (Haryana) mein apni manufacturing ki plant ko band karne aur gurgao mein apne sale office ke size mein numaya kami laane ka iradah rakhti hai.

Harley davidson ne kaha company ka dealer net work moahida ki muddat ke zariye sarfeen ki khidmat jari rakhayga, ye Hindustan mein apne sarfeen ke sath baat cheet kar rahi hai aur aindah ki himayat ke silsilay mein inhen up date karti rahegi.

Revire ke ek hissay ke tor par jo apne operating model aur market ki saakht ka ek jaiza hai, company Hindustan mein apne karobari model ko tabdeel kar rahi hai aur apne sarfeen ki khidmat jari rakhnay ke liye ikhtiyarat ka hai un iqdamaat ko reviere ke sath jor diya gaya hai jis ke zariye jari rakhnay ka mansoobah banaya gaya hai.

Bayan mein kaha gaya hai ke 2020 ke aakhir mein 2021-2025 ke liye ek naya strategic mansoobah jiska maqsad Harley davidson brand aur masnoaat ke liye matlooba istiqamat paeda karna hai.